saans lete huye bhi darta hun
ye na samajhen ki aah karta hun
bahar-e-hasti mein hun misaal-e-hubaab[like a bubble]
mit hi jaata hun jab ubharta hun
itni aazadi bhi ganimat hai
saans leta hun baat karta hun
shekh sahab khuda se darte ho
main toh angrezon hi se darta hun
aap kya puuchhte hain mera mizaaj
shukr allaah ka hai marta hun
ye bada aib mujh mein hai 'akbar'
dil mein jo aaye keh guzarta hun
No comments:
Post a Comment