saaf zaahir hai nigaahon se ki ham marte hain
munh se kehte huye ye baat magar darte hain
ek tasvir-e-muhabbat hai jawani goyaa
jis mein rangon ki ivaz[instead of] Khoon-e-jigar bharte hain
isharat-e-rafta[happiness of the days gone by] ne ja kar na kiya yaad hamen
isharat-e-rafta ko ham yaad kiya karte hain
aasmaan se kabhi dekhi na gayi apni khushi
ab ye halaat hain ki ham hanste huye darte hain
sher kahte ho bohat khoob tum ‘akhtar’ lekin
achchhe shayar ye suna hai ki jawan marte hain
No comments:
Post a Comment