andaaz apne dekhte hain, aaiine mein woh
aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho
uss mai se nahin matlab dil jis se ho begana
maqsuud hai uss mai se dil hi mein jo khichati hai
main teri mast nigahon ka bharm rakh lunga
hosh ayaa bhi toh keh doonga mujhe hosh nahin
suraj mein lage dhaba fitarat ke karishme hain
buut humko kahen kaafir allaah ki marzi hai
na-tajurbakari se vaa_iz ki ye baatein hain
iss rang ko kya jaane puuchho to kabhi pii hai
vaan dil mein ke sadme do yaan jii mein ke sab seh lo
unnka bhi ajab dil hai mera bhi ajab jii hai
har zarra chamakta hai anavaar-e-ilaahi se
har saans ye kahati hai, hum hain toh khuda bhi hai
hangama hai kyun barpa thodi si jo pii li hai
daka toh nahin dala chori to nahin ki hai
No comments:
Post a Comment