karta use beqarar kuch der
hota agar ikhtiyyar kuch der
kya royen fareb-e-aasman ko
apna nahin aitbaar kuch der
aankhon mein kati pahad si raat
so ja dil-e-beqarar kuch der
ae shehr-e-tarab ko jaane walon
karna mera intizaar kuch der
bekaifi-e-roz-o-shab musalsal
sarmasti-e-intizaar kuch der
takleef-e-gham-e-firaaq dayem
taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der
ye guncha-o-gul hain sab musafir
hai kaafila-e-bahar kuch der
duniya toh sada rahegi 'nasir'
ham log hain yaadgaar kuch der
No comments:
Post a Comment