ussko bhi bachana hai khud ko bhi bachana hai
ek simt hai zaat apni ek simt zamana hai
humse na koi uljhe hum log hain deewane
andhi se hamen zid hai ek deep jalana hai
hum dono ko banta hai dariya ke kinaron ne
iss simt bhi rehna hai uss simt bhi jana hai
ye ishq toh fitrat hai kaise ho juda mujhse
ye rog hai matti ka aur sadiyon purana hai
basti hi chupa li phir uss shakhs ne hathon mein
itna jo kaha maine ek shehr basana hai
ek ankh hai sehra toh ek ankh samandar hai
kya janye iss dil mein kis kis ko samana hai
kehne ko buhat kuch hai, ae 'saad' magar humne
ek wada nibhana hai ek dard chupna hai
No comments:
Post a Comment