gardishon ke hai maare huye na, dushmanon ke sataye huye hai
jitne bhi zakhm hai mere dil par, doston ke lagaye huye hai
jab se dekha tera qudd-o-qamat, dil pe tuuti hui hai qayamat
har bala se rahe tu salamat, din jawani ke aaye huye hai
aur de mujhko de aur saaqi, hosh rehta hai thoda sa baqi
aaj talkhi bhi hai inteha ki, aaj vo bhi paraaye huye hai
kal thay abad pehlu mein mere, ab hai ghaiiron mein dere
meri mehfil mein kar ke andhere, apni mehfil sajaye huye hai
apne haathon se khanjar chala kar, kitna masoom chehra bana kar
apne kandhon pe ab mera qatil, meri mayyat uthaye huye hai
mehwashon ko waffa se kya matlab, inn buuton ko khuda se kya matlab
innki masoom nazaron ne 'nasir', log pagal banaye huye hai
gardishon ke hai maare huye na, dushmanon ke sataye huye hai
jitne bhi zakhm hai mere dil par, doston ke lagaye huye hai
No comments:
Post a Comment