dil mein ek lehar si uthi hai abhi
koi taaza hawa chali hai abhi
shor barpa hai khana-e-dil mein
koi diwar si giri hai abhi
kuch toh nazuk mizaaj hain hum bhi
aur ye chot bhi nayi hai abhi
bhari duniya mein jii nahin lagta
jaane kis cheez ki kami hai abhi
tu shareek-e-sukhan nahin hai toh kya
hum-sukhan teri khamoshi hai abhi
yaad ke be-nishaan jazeeron se
teri awaaz aa rahai hai abhi
shahr ke be-chiragh galiyon mein
zindgi tujhko dhundhti hai abhi
so gaye log uss haveli ke
ek khidki magar khuli hai abhi
tum toh yaaro abhi se uth baithe
shahr mein raat jaagti hai abhi
waqt achcha bhi aayega 'nasir'
gham na kar zindgi padi hai abhi
No comments:
Post a Comment