Thursday, June 4, 2009

behzad lucknawi ki shayyiri

ae jazba-e-dil gar main chahun har cheez muqaabil aa jaaye
manzil ke liye do gaam chalun aur saamne manzil aa jaaye
kashti ko khuda par chod bhi de, kashti ka khuda khuda haafiz hai
mushkil toh nahin inn maujon mein behta hua saahil aa jaaye
ae dil ki lagi chal yunhi sahi, chalta toh hun unnki mehfil mein
uss waqt mujhe chaunka dena jab rang pe mehfil aa jaaye
ae raahbar-e-kaamil chalane ko tayyar toh hun par yaad rahe
uss waqt mujhe bhatka dena jab saamne manzil aa jaaye
haan yaad mujhe tum kar lena awaaz mujhe tum de lena
iss raah-e-muhbbat mein koi darpesh jo mushkil aa jaaye
ab kyun dhondhun vo chasm-e-karam hone de sitam balaa-e-sitam
main chahta hun ae jazba-e-gham mushkil pas-e-mushkil aa jaaye
iss jazba-e-dil ke baare mein ek mashvara tum se leta hun
uss waqt mujh pe kya laazim hai jab tujhpe mera dil aa jaaye
ae barq-e-tajalli kya tune mujhko bhi musa samjha hai
main tuur nahin jo jal jaaun jo chahe muqabil aa jaaye


No comments:

Post a Comment

wel come