ae jazba-e-dil gar main chaahun har chiiz muqaabil aa jaaye
manzil ke liye do gaam chalun aur samane manzil aa jaaye
ae dil ki khalish chal yun hi sahi, chalta toh hun unnkii mehfil mein
uss waqt mujhe chaunka dena jab rang pe mehfil aa jaaye
ae rehbar-e-kaamil chalne ko tayyar toh hun par yaad rahe
uss waqt mujhe bhatka dena jab samane manzil aa jaaye
haan yaad mujhe tum kar lena awaaz mujhe tum de lena
iss raah-e-muhabbat mein koi darpesh jo mushkil aa jaaye
ab kyun dhundhu vo chashm-e-karam hone de sitam bala-e-sitam
main chahta hun ae jazbaa-e-gham mushkil pas-e-mushkil aa jaaye
iss jazb-e-dil ke baare mein ik mashvara tumse leta hun
uss waqt mujhe kya laazim hai jab tujhpe mera dil aa jaaye
ae barq-e-tajall kya tuune mujhko bhi muusa samjha hai
main tuur nahin jo jal jaaun jo chahe muqabil aa jaaye
No comments:
Post a Comment