hans ke farmaate hain vo dekh kar haalat meri
kyon tum aasaan samajhte thay muhbbat meri
baad marne ke bhi chhodi na rafaqat meri
meri turbat se lagi baithi hai hasrat meri
maine aagosh-e-tasavvur mein bhi khencha toh kaha
pis gayi pis gayi bedard nazakat meri
aaiina subah-e-shab-e-wasl jo dekha toh kaha
dekh zaalim ye thi sham ko surat meri
yaar pahalu mein hai tanhaai hai keh do nikle
aaj kyon dil mein chhupi baithi hai hasrat meri
husn aur ishq ham_aagosh nazar aa jaate
teri tasviir mein khinch jaati jo hairat meri
kis dhitaai se vo dil chhiin ke kehte hain 'ameer'
vo mera ghar hai rahe jis mein muhabbat meri
No comments:
Post a Comment