ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftgu karte
payaam bar na mayassar hua toh khuub hua
zabaan-e-gaiir se kya shar[mischief] ki aarzu karte
meri tarah se maah-o-mahar bhi hain awara
kisi habiib ko ye bhi hain justju karte
jo dekhte teri zanjiir-e-zulf ka aalam
asiir hone ke aazad aarzu karte
na puuch aalam-e-bargashta[turn around/against] taali-e-‘aatish’[burning fate]
barsati aag mein jo baaraan rain] ki aarzu karte
No comments:
Post a Comment