Monday, July 6, 2009

abbas dana ki shayyiri

apne khwabon mein tujhe jis ne bhi dekha hoga
aankh khulte hi tujhe dhundhane nikla hoga
zindgi sirf tere naam se mansuub rahe
jaane kitne hi dimagon ne ye socha hoga
dost ham ussko hi paigam-e-karam samjhenge
teri furqat ka jo jalta hua lamha hoga
daaman-e-ziist[fabric of life] mein ab kuch bhi nahin hai baaqi
maut aayi toh yaqiinan usse dhoka hoga
raushni jis se utar aayi lahu mein mere
ae masiha vo mera zakhm-e-tamnna hoga

No comments:

Post a Comment

wel come