woh be karariyan meri woh souz e jaan kidhar gaya
kahan gaye woh hamsafar, woh karwan kidhar gaya
woh raaston mein jhoomte shajar ayaam-e-ishq ke
yeh poochte hain ab bata tera jahan kidhar gaya
mein bachpane ki shakh se gira hun uss mukaam pe
jahan zamiin puchti hai aasman kidhar gaya
qafas ke dar khule toh kaali aandiyon ka raaj tha
dar-o-deewar kya huye woh aashiyan kidhar gaya
woh ibtada ki talkhiyan hai maut samne magar
qamar batao zindagi ka darmiyan kidhar gaya
No comments:
Post a Comment