Tuesday, July 7, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

lab-e khaamosh se afsha hoga
raaz har rang mein ruswa hoga
dil ke sahra mein chali sard hawa
abr gul_zaar pe barsa hoga
tum nahin thay toh sar-e-baam-e-khayal
yaad ka koi sitara hoga
kis tawaqqo pe kisi ko dekhen
koi tumse bhi hasin kya hoga
zeenat-e-halqa-e-aagosh bano
duur baithoge toh charcha hoga
zulmat-e-shab mein bhi sharmate ho
dard chamakega toh phir kya hoga
jis bhi fankaar ka shahkar ho tum
uss ne sadiyon tumhen socha hoga
kis qadar qarb se chatki hai kali
shaakh se gul koi tuuta hoga
umr bhar roye faqat iss dhun mein
raat beeti toh ujala hoga
saari duniya hamen pehachanti hai
koi ham-sa bhi na tanha hoga

No comments:

Post a Comment

wel come