labon pe narm tabassum racha ke dhul jaayen
khuda kare mere aansuu kisi ke kaam aayen
jo ibtada-e-safar mein diye bujha baithe
vo bad_nasiib kisi ka suraag kya paayen
talash-e-husn kahan le chali khuda jaane
umang thi ki faqat zindgi ko apanayen
bula rahe hain ufaq par jo zard-ruu tiile
kaho toh ham bhi fasane ke raaz ho jaayen
na kar khuda ke liye baar-baar zikr-e-behisht
ham aasman ka mukarrar fareb kyon khaayen
tamaam maikada sun_saan maigusaar udas
labon ko khol kar kuch sochti hain miinaayen
No comments:
Post a Comment