marun toh main kisi chehre mein rang bhar jaaun
'nadeem' kaash yahi ek kaam kar jaaun
ye dasht-e-tark-e-muhbbat ye tere qarb ki pyas
jo izaan[permission] ho to teri yaad se guzar jaaun
mera wajuud meri ruuh ko pukarta hai
teri taraf bhi chalun toh thahar thahar jaaun
tere jamaal ka paratau[aks] hai sab hasiinon par
kahan kahan tujhe dhuundhun kidhar kidhar jaaun
main zinda tha ki tera intzaar khatam na ho
jo tu mila hai toh ab sochata hun marr jaaun
ye sochta hun ki main buut_parast kyun na hua
tujhe qariib jo paaun toh khud se darr jaaun
kisi chaman mein bas iss khauff se guzar na hua
kisi kali pe na bhuule se paanv dhar jaaun
ye jii mein aati hai takhliiq-e-fan[creation of art] ke lamhon mein
ki khuun ban ke rag-e-sang mein utar jaaun
No comments:
Post a Comment