ab tak toh nuur-o-nikhat-o-rang-o-sada kahun
main tujhko chhu sakun toh khuda jaane kya kahun
lafzon se unnko pyar hai mafhuum se mujhe
vo gul kahen jise mein tera naqsh-e-paa kahun
ab justaju hai teri jaffa ke javaaz ki
jii chahta hai tujhko waffa aashna kahun
sirf isske liye ke ishq issi kaa zahuur hai
main tere husn ko bhi sabuut-e-waffa kahun
tu chal diya toh kitne haqaa_iq badal gaye
nazm-e-sahar ko marqad-e-shab ka diya karun
kya jabr hai ke buut ko bhi kahna pade khuda
vo hai khuda toh mere khuda tujhko kya kahun
jab mere munh mein meri zuban hai toh kyun na main
jo kuch kahun yaqiin se kahun barmala kahun
kya jaane kis safar pe ravan hun azal se main
har inteha ko ek nayi ibtida kahun
ho kyun na mujhko apne mazaaq-e-sukhan pe naaz
gaalib ko kaa_inaat-e-sukhan ka khuda kahun
No comments:
Post a Comment