kahin ummid si hai dil ke nihaan_khane mein
abhi kuch waqt lagega isse samajhane mein
mausam-e-gul ho ki patajhad ho bala se apni
ham ki shamil hain na khilne mein na murjhane mein
ham se makhfi nahin kuch rah_guzar-e-shauq ka haal
hamne ik umar guzari hai hawakhvane mein
hai yun hi ghumte rehne ka maza hi kuch aur
aisi lazzat na pahunchne mein na reh jaane mein
naye diwaanon ko dekhen toh khushi hoti hai
ham bhi aise hi thay jab aaye thay virane mein
mausamon ka koi mehram ho toh uss se puuchho
kitane patajhad abhi baaqi hain bahaar aane mein
No comments:
Post a Comment