kahan ki gunj dil-e-naatvan[weak heart] mein rehti hai
ki tharthari si azab jism-o-jaan mein rehti hai
maza toh ye hai ki vo khud toh hai naye ghar mein
aur usski yaad purane makan mein rehti hai
agarche uss se mere betakallufi hai bahut
jhijhak si ek magar daramiyan mein rehti hai
pata toh fasl-e-gul-o-laalaa ka nahin mallum
suna hai qarb-o-vaar-e-khizan mein rehti hai
main kitna vaham karun lekin ik shua-e-yaqiin[ray of belief]
kahin navaah[surrounding]-e-dil-e-bad-guman[suspicious heart] mein rehti hai
hazaar jaan khapata rahun magar phir bhi
kami si kuch mere tarz-e-bayan mein rehti hai
No comments:
Post a Comment