zehanon mein khayal jal rahe hain
sochon ke alaav-se lage hain
duniya ki girift mein hain saaye
ham apna wajuud dhuundhate hain
ab bhuukh se koi kya marega
mandi mein zamiir bik rahe hain
maazi mein toh sirf dil dukhte thay
iss daur mein zehan bhi dukhe hain
sar kaat’te thay kabhi shehanshah
ab log zuban kaat’te hain
ham kaise chhudaayen shab se daaman
din nikla toh saaye chal pade hain
laashon ke hajuum mein bhi hans den
ab aise bhi hausle kise hain
No comments:
Post a Comment