Tuesday, July 7, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

vo koi aur na tha chand khushk patte thay
shajar se tuut ke jo fasl-e-gul pe roye thay
abhi abhi tumhen socha toh kuch na yaad aaya
abhi abhi toh ham ek-dusre se bichhade thay
tumhare baad chaman par jab ik nazar daalii
kali kali mein khizan ke chirag jalte thay
tamaam umar waffa ke gunahgar rahe
ye aur baat ki ham aadmi toh achchhe thay
shab-e-khamosh ko tanhaai ne zaban de di
pahad gunjate thay dasht sansanate thay
vo ek baar mare jinko tha hayat se pyar
jo zindgi se gurezan thay roz marte thay
naye khayal ab aate hain dhal ke zahan mein
hamare dil mein kabhi khet lahlahate thay
ye iratiqa[progressive] ka chalan hai ki har zamane mein
purane log naaye aadami se darte thay
'nadeem' jo bhi mulaqaat thi adhuuri thi
ki ek chehre ke piichhe hazaar chehre thay

No comments:

Post a Comment

wel come