Tuesday, July 7, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

reit se buut na bana ae mere achchhe fan_kaar
ek lamhe ko thahar main tujhe patthar laa dun
main tere saamne ambaar laga dun lekin
kaun se rang ka patthar tere kaam aayega
surkh patthar jise dil kehati hai bedil duniya
ya vo pattharaai hui aankh ka neela patthar
jis mein sadiyon ke tahayyur ke pade hon dore
kya tujhe ruuh ke patthar ki zaruurat hogi
jis pe haq baat bhi patthar ki tarah girti hai
ik vo patthar hai jise kehte hain tahzeeb-e-safed
usske mar_mar mein siyah khuun jhalak jaata hai
ik insaaf ka patthar bhi toh hota hai magar
haath mein tesha-e-zar ho toh vo haath aata hai
jitne mayaar hain iss daur ke sab patthar hain
sher bhi raqs bhi tasviir-o-gina bhi patthar
mere ilhaam tera zahan-e-rasa bhi patthar
iss zamane mein har fan ka nishan patthar hai
haath patthar hain tere meri zuban patthar hai
reit se buut na bana ae mere achchhe fan_kaar

No comments:

Post a Comment

wel come