kaati hai gham ki raat bade ehatram se
aksar bujha liya hai charaagon ko sham se
raushan hai apni bazm aur iss ehatmaam se
kuch dil bhi jal rahe hain charaagon ke naam se
muddat hui hai khoon-e-tamnna kiye magar
ab tak tapak raha hai lahu dil ke jaam se
subah-e-bahaar ham ko bulati rahi magar
ham khelte rahe kisi zulfon ki shaam se
har saans par hai maut ka pehara laga hua
aahista ae hayaat guzar iss maqaam se
kaati tamaam umar fareb-e-bahaar mein
kaante sametate rahe phuulon ke naam se
ye aur baat hai ke ‘ali’ ham na sun sake
aawaz uss ne di hai hamen har maqaam se
No comments:
Post a Comment