khushbu hai vo toh chhu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye
khud phuul ne bhi hont kiye apne niim-vaa
chori tamaam rang ki titali ke sar na jaaye
iss khauff se vo saath nibhane ke haq mein hai
kho kar mujhe ye ladki kahin dukh se marr na jaaye
palkon ko usski apne dupatte se ponch duun
kal ke safar mein aaj ki gard-e-safar na jaaye
main kis ke haath bhejuun usse aaj ki dua
qaasid hawa sitara koi usske ghar na jaaye
No comments:
Post a Comment