kamal-e-zabt ko khud bhi tog aazmaungi
main apne haath se usski dulhan sajaungi
sapurd kar ke usse chandni ke haathon
main apne ghar ke andheiron ko laut aaungi
badan ke qarb ko woh bhi samajh na payega
main dil mein ro'ungi aankhon mein muskuraungi
woh kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
main kis se ruuth sakungi, kise manaungi
woh ek rishta-e-be_naam bhi nahi lekin
main ab bhi usske isharon pe sar jhukaungi
bicha diya tha gulabon ke sath apna wajood
woh so ke uthe toh khawabon ki rakh uthaungi
jawaz dhuund raha tha nayi muhbbat ka
woh keh raha tha ke main ussko bhool jaungi
No comments:
Post a Comment