Friday, June 5, 2009

shehzad ahmed ki shayyiri

jal bhi chuke parwane ho bhi chuki rusvai
ab khaak udaane ko baithe hain tamaashai
taaron ki ziyaa[lite] dil mein ek aag lagaati hai
aaram se raaton ko sote nahin saudaai
raaton ki udaasi mein khaamosh hai dil mera
behis[careless] hain tamanayen neend aayi ke maut aayi
ab dil ko kisi karwat aaram nahin milta
ek umar ka rona hai, do din ki shanaasaai[knowledge]
ek shaam vo aaye thay ek raat farozaan[lit-up] thi
vo sham nahin lauti vo raat nahin aayi

No comments:

Post a Comment

wel come