apni tasviir ko aankhon se lagataa kya hai
ik nazar meri taraf dekh tera jata kya hai
meri rusvai mein tu bhi hai barabar ka sharrik
mere qisse mere yaaron ko sunaata kya hai
paas rehkar bhi na pehchaan sakaa tu mujhko
duur se dekh kar ab haath hilaata kya hai
safar-e-shauq mein kyun kaantpate hain paanv tere
duur se dekh kar ab haath uthaata kya hai
umar bhar apne girebaan se uljhane wale
tu mujhe mere saaye se daraata kya hai
marr gaye pyaas ke mare toh uthaa abr-e-karam
bujh gayi bazm toh ab shama jalaata kya hai
main tera kuch bhi nahin hun, magar itna toh bataa
dekh kar mujhko tere zehan mein aata kya hai
No comments:
Post a Comment