zamana bahut bad-gumaan ho raha hai
kisi shakhs ka imtihaan ho raha hai
surili sadyein hain ek shokh ki si
ilaahi ! ye jalsa kahan ho raha hai
bahut hasrat aati hai mujhko ye sun kar
kisi par koi mehrabaan ho raha hai
teri zulm-e-pinhaan abhi kaun jaane ?
faqat aasman aasman ho raha hai
in ankhon ne iss dil ka kya bhed khola ?
ke muztar mera raazdaan ho raha hai
sunu kya khabar jashn-e-ishrat ka qaasid ?
jahan ho raha hai, vahan ho raha hai
vo haal-e-tabiyat jo barson chhupaya
har ek shakhs se ab bayaan ho raha hai
koi udd ke aaya, koi chhup ke aaya
pashemaan tera paasban ho raha hai
kahin do ghadii aap shabnam mein soye
jo rukh par arq dur-fishaan ho raha hai
ye behoshiyaan "daag", ye khawab-e-ghaflat
khabar bhi hai jo kuch vahaan ho raha hai
No comments:
Post a Comment