jab vo jalwanuma nahin hota
kya bataun main kya nahin hota
dil bohat hi uddas rehta hai
koi dard aashna nahin hota
nahin hota sukoon-e-qalb mujhe
usska jab aasra nahin hota
yaad aati hai usski sargoshi
jab bhi usska pata nahin hota
vahi rehta hai khana-e-dil mein
jab koi dosra nahin hota
iss qadar mujhse hai veh ab manuus
kabhi mujhse juda nahin hota
kijiye aap sab se husn-e-sulook
koi achcha bura nahin hota
todiye mat kisi ka sheesha-e-dil
kuch bhi iss se bhala nahin hota
asal mein hai yahi fasaad ki jadh
poora ahd-e-waffa nahin hota
nahin chubte kabhi yeh khaar-e-alam
dil agar phool sa nahin hota
usska teer-e-nazar nishane se
kabhi 'barqi' khata nahin hota
ahmed ali barqi aazmi
No comments:
Post a Comment