sham-e-gham uss nigah-e-naaz ki baate karo
bekhudi badhti chali hai raaz ki baaten karo
ye sukoot-e-naaz ye dil ki ragon ka tootna
khamushi mein kuch shikast-e-saaz ki baaten karon
nakhat-e-zulf-e-parishan dastan-e-shaam-e-gham
subah hone tak issi andaz ki baaten karo
har rag-e-dil vazd mein aati rahe dukhti rahe
yun hi usske ja-vo-bheja naaz ki baatein karo
jo adam ki jaan hai jo hai payaam-e-zindgi
uss sukoot-e-raaz uss aawaz ki baatein karo
ishq ruswa ho chala be_kaif-sa bezaar-sa
aaj usski nargis-e-ghamaaz[chugalkhor aankhein] ki baatein karo
naam bhi lena hai jiska ik jahan-e-rango-buu
dosto uss nau-bahare-naaz ki baatein karo
kis liye ujze-tagafuul kis liye ilzaam-e-ishq
aaj churkhe-tafraqa-pardaaz ki baatein karo
kuch kafas ki tiliyon se chhan raha hai noor-sa
kuch faza kuch hasrat-e-parwaz ki baatein karo
jo hayyat-e-javinda hai jo hai marg-e-nagahan
aaj kuch uss naaz uss andaz ki baatein karo
ishq-e-be_parwa bhi ab na_shakeba[unsatisfy] ho chala
shokhi-e-husn-e-karishma_saaz ki baatein karo
jiski furqaat ne palat di ishq ki kaya 'firaq'
aaj uss isha-nafas dam saaz ki baatein karo
No comments:
Post a Comment