abhi farmaan aaya hai vahaan se
ke hat jaaun main apne darmiyan se
yahan jo hai tanaffus hi mein kam hai
parinde udd rahe hain shaakh-e-jaan se
dareecha baaz hai yaadon ka aur main
hawa sunta hun pedon ki zabaan se
tha ab tak marka baahar ka darpesh
abhi toh ghar bhi jana hai yahan se
falaan se behtar thi ghazal falaan ki
falaan ke zakhm achche thay falaan se
khabar kya dun main shahr-e-raftugaan ki
koi laute bhi shahr-e-raftugaan se
yahi anjaam kya tujhko hawas tha
koi puuche toh meer-e-daastan se
No comments:
Post a Comment