ek hunar hai jo kar gaya hun main'
sab ke dil se uttar gaya hun main
kaise apni hassi ko zabt karun
sun raha hun ke ghar gaya hun main
kya bataun ke marr nahin paata
jeete ji jab se marr gaya hun main
ab hai bas apna saamna darpesh[to confront]
har kisi se guzar gaya hun main
voh hi naaz-o-ada, voh hi ghamze[amorous glances]
sar-ba-sar aap par gaya hun main
azab illzam hun zamaane ka
ke yahan sab ke sar gaya hun main
kabhi khud tak pahunch nahin paaya
jab ke vaan umar bhar gaya hun main
tum se jaanaan mila hun jis din se
be tarah, khud se darr gaya hun main
kuu-e-jaana[beloved'shome] mein sog barpaa hai
ke achanak sudhar gaya hun main
No comments:
Post a Comment