Monday, June 1, 2009

jaun elia ki shayyiri

halat-e-haal ke sabab, halat-e-haal hi gayi
shauq mein kuch nahin gaya, shauq ki zindgi gayi
ek hi haadisa toh hai aur vo ye ke aaj tak
baat nahin kahi gayi, baat nahin suni gayi
baad bhi tere jaan-e-ja dil mein raha azab samaan
yaad rahi teri yahan, phir teri yaad bhi gayi
usske badan ko di namood hamne sukhan mein aur phir
usske badan ke vaste ek qaba bhi sii gayi
usski ummid-e-naaz ka hamse ye maan tha ke aap
umar guzar dijiye, umar guzaar di gayi
usske wisal ke liye, apne kamaal ke liye
halat-e-dil ke thi kharab, aur kharaab ki gayi
tera firaq jaan-e-ja aish tha kya mere liye
yaani tere firaaq mein khuub sharaab pii gayi
usski gali se uth ke main aan pada tha apne ghar
ek gali ki baat thi aur gali gali gayi

No comments:

Post a Comment

wel come