Thursday, June 4, 2009

jaun elia ki shayyiri

dil pareshan hai, kya kiya jaaye
aql hairaan hai, kya kiya jaaye
shauq-e-mushkil-pasand, unnka husuul[attainment]
sakht aasan hai, kya kiya jaaye
ishq-e-khuuban[love of beautiful ppl] ke saath hi hum mein
naaz-e-khuuban[pride of beautifuk ppl] hai, kya kiya jaaye
be-sabbab hi meri tabiyat-e-gham
sab se naalan[complaining] hai, kya kiya jaaye
bawjuud unnki dil-nawazi ke
dil gurezaan hai, kya kiya jaaye
main toh naqd-e-hayaat laaya tha
jins arzaan[cheap] hai, kya kiya jaaye
hum samjhte thay ishq ko dushvaar
ye bhi asaan hai, kya kiya jaaye
vo bahaaron ki naaz-parvardah
hum pe naazan hai kya kiya jaaye
misr-e-lutf-o-karam mein bhi ae 'jaun'
yaad-e-kinaan hai kya kiya jaaye


No comments:

Post a Comment

wel come