Friday, May 29, 2009

jaun elia ki shayyiri

koi haalat nahin ye haalat hai
ye toh aasho'b'naak surat hai
anjuman mein ye meri khaamoshi
burdbaari nahin hai wahshat hai
tujhse ye gaah gaah ka shikva
jab talak hai basa-ganeemat hai
khwahishen dil ka sath chhod gayin
ye aziyat badi aziyat hai
log masroof jaante hain mujhe
yaan mera gham hi meri fursat hai
tanz pairaa-e-tabassum mein
iss takalluf ki kya zaroorat hai
hum ne dekha toh hum ne ye dekha
jo nahin hai vo khubsurat hai
vaar karne ko jaanisar aayein
ye toh eesaar hai inayat hai
garm-joshi aur iss qadar kya baat
kya tumhen mujhse kuch shikayat hai
ab nikal aao apne andar se
ghar mein saaman ki zaroorat hai
aaj ka din bhi aish se guzra
sar se paa tak badan salamat hai

No comments:

Post a Comment

wel come