Thursday, July 2, 2009

zakhm-e-ummid bhar gaya kab ka !

zakhm-e-ummid bhar gaya kab ka !
qais toh apne ghar gaya kab ka !
aap ik aur neend le lijiye !
qafila kuch kar gaya kab ka !
dukh ka lamha azal [beginning of time] abad [end of time] lamha !
waqt ke paar utar gaya kab ka !
apna munh ab toh mat dikhao mujhe !
naaseho, main sudhar gaya kab ka !
nasha hone ka be_tarah tha tha kabhi !
par vo zalim utar gaya kab ka !
aap ab puuchne ko aaye hai ?
dil meri jaan ! marr gaya kab ka !

No comments:

Post a Comment

wel come