haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hi gayi
shauq mein kuch nahin gaya, shauq ki zindgi gayi
ek hi haadisa toh hai aur vo ye ke aaj tak
baat nahin kahi gayi, baat nahin suni gayi
baad bhi tere jaan-e-jaan dil mein raha ajab samaan
yaad rahi teri yahan, phir teri yaad bhi gayi
usske badan ko di namuud[apperance] humne sukhan mein aur phir
usske badan ke vaaste ek qabaa[gown] bhi sii gayi
usski umeed-e-naaz ka humse ye maan tha ke aap
umar guzaar dijiye, umar guzaar di gayi
usske wisaal ke liye, apne kamal ke liye
haalat-e-dil, ke thi kharaab, aur khraab ki gayi
tera firaaq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye
yaani tere firaaq mein khoob sharaab pii gayi
usski gali se uth ke main aan pada tha apne ghar
ek gali ki baat thi aur gali gali gayi
No comments:
Post a Comment