Monday, June 1, 2009

qamar ki shayyiri

phir kahoge tum muqabil ko saza ke vaste
aaiine ko haath se rakh do khuda ke vaste
kaba-e-dil ko na taako tum jaffa ke vaste
ae buuto ye ghar khuda ka hai khudaa ke vaste
yaa ilaahii kis taraf se pas hai baab-e-asar
kaun sa nazadiik hai rasta dua ke vaste
keh gaye kya dekh kar nabzon ko kya jaane tabiib
haath uthaaye hain azeezon ne dua ke vaste
tum bhi naam-e-khuda ho mashq-e-zulm-o-jor ho
aasman se mashvara kar lo jaffa ke vaste
mujhko uss mitti se khaaliq ne banaya hai "qamar"
reh gayin thi jo azal ke din waffa ke vaste

No comments:

Post a Comment

wel come