har ek awaaz ab urdu ko fariyaadi batati hai
yeh pagali phir bhi ab tak khud ko shezadi batati hai
kai baatein muhbbat sab ko buniyaadi batati hai
jo pardaadi batati thi vahi daadi batati hai
jahan pichle kai barson se kaale naag rehte hain
vahan ek ghonsla chidyon ka tha daadi batati hai
abhi tak yeh ilaaka hai ravadaari ke qabze mein
abhi firqaparasti kam hai abaadi batati hai
yahan viraaniyon ki ek muddat se hukumat hai
yahan se nafratein guzri hai barbaadi batati hai
lahu kaise bahaya jaaye yeh leader batate hain
lahu ka zayeka kaisa hai yeh khaadi batati hai
gulaami ne abhi tak mulaq ka peecha nahin choda
hamen phir qaid hona hai yeh azaadi batati hai
garibi kyun hamaare shehr se bahar nahin jaati
amiir-e-shehr ke ghar ki har ek shadi batati hai
main unn ankhon ke maikhane mein thodi der baitha tha
mujhe duniya nashe ka aaj tak aadi batati hai
Bohot khoob. Kya sher kahe hai.
ReplyDelete