aaj bhi hain mere kadmon ke nishan awara
teri galiyon mein bhatakte thay jahan awara
tujhse kya bichhde toh ye ho gayi apni haalat
jaise ho jaaye hawaon mein dhuaan awara
mere sheron ki thi pehchaan ussi ke dam se
ussko kho kar huye benaam-o-nishan awara
jisko bhi chaha usse toot ke chaha 'raashid'
kam milenge tumhe hum jaise yahan awara
No comments:
Post a Comment