Friday, May 29, 2009

mumtaz rashid ki shayyiri

mujhse mera kya rishta hai, har ek rishta bhool gaya
itne aaine dekhe hain, apna chehra bhool gaya
ab toh ye bhi yaad nahi hai farq tha kitna dono mein
usski baatein yaad rahi aur usska lehja bhool gaya
pyasi dharti ke honton par mera naam nahi toh kya
main vo badal ka tukda hun jisko dariya bhool gaya
duniya wale kuch bhi kahe 'raashid' apni majboori hai
usski gali jab yaad aayi hai, ghar ka rasta bhool gaya

No comments:

Post a Comment

wel come