rukh-0-zulf par jaan khoya kiya
andhere ujaale mein roya kiya
kahun kya hui umar kyunkar basar
main jaaga kiya bakht[luck] soya kiya
rahi sabz be-fikar kasht-e-sukhan
na jota kiya main na boya kiya
maza gham ke khane ka jisko pada
veh ashkon se haath apne dhoya kiya
zankhda'n[ठुडी] se 'aatish' muhabat rahi
kuye mein mujhe dil duboya kiya
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Saturday, April 11, 2009
khawaja aatish ki shayyiri
kab tak veh zulf deti hai aazaar[कष्ट]dekhiye
kat'ti hai kis tarah se shab-e-taar dekhiye
bimaar-e-ishq marte hain iss ishtiyaak[इच्छा]mein
pii jaaiye jo sharbat-e-didaar dekhiye
रगबत[prem] ki aankh daaliye zar'ron ki tarah se
roshan jo aaftab-sa rukhsaar dekhiye
jaate hain ku-e-yaar se hum aise hoke tang
kaba bhi ho toh phir ke na zinhaar[हरगिज़] dekhiye
ahista paanv rakhiye, qaymat na kijiye
thokar se fitne[परेशानी] hote hain, bedaar[जागना]dekhiye
bulbul ki tarah ishq jo humko chaman se ho
soa jaaiye toh khwab mein gulzaar dekhiye
kaz'zaak[डाकू]ki nigah se kam apni nigah nahin
kya lootiye jo daulat-e-didaar dekhiye
aaishq masiah[चिकत्सक]bhi tumhen kehte hain mehrbaan
haal usska puchhiye jise bimaar dikhiye
aalam[संसार]ki sair kijiye 'aatish' milega yaar
yusuf[beautiful] jo chahen aap toh bazaar dekhiye

kabhi jo zajba-e-muhabat se kaam hota hai
naqaab ult'ta hai diddar-e-aam hota hai
uthaun kis liye ehsaan yaar gardan par
mera toh usske tagfuul[la-parwahi] se kaam hota hai
khuda ki yaad jawani mein ghafilon kar lo
vagrna waqt-e-fazlilat[imp.] tamaam hota hai
kisi ko kya koi ghar apne dil mein karne de
nagi'n se dekh le bar-aks[ulta] naam hota hai
koi zamane se jaata hai koi aata hai
kisi ka kuuch kisi ka mukaam hota hai
fansa jo zulf mein uss gul ke murg-e-dil bola
na thi khabar yeh ki sambuul[घास] bhi daam[jaal] hota hai
hamare halka mein karta hai sheesha dil khali
hamare daur mein labrez zaam hota hai
bala-e-bazm jahan hai veh chasm-ki-gardish
nigah phirti hai daura tamaam hota hai
mulzimon mein hain sultan-e-ishq ke hum bhi
kabhi hamara bhi 'aatish' salaam hota hai

aankh aaine se tune jo ladai hoti
raat bhar meri tarah neend na aayi hoti
taare-sambuul[घास] koi kehta ha, rag-e-gul koi
kamar-yaar jo hoti toh dikhayi hoti
sahib-e-zarf[kind] jo hota na hamare dil-sa
do jahan mein na muhbat ki samayi hoti
chasm-e-bulbul se jo ehbaab[frd] nazara karte
bu-e-gul perhan-e-yaar se aayi hoti
sahal chhutna nahin uss raayat-e-jaan[lover] ka 'aatish'
ruuh-0-kaalib mein hai mushkil se judai hoti

muhabat kodiyon ke ho agar mol
bani adam na le yeh dard sar mol
azab daulat hai yeh ehsaan iss se
bashar[insan] ko bhi le leta hai bashar mol
yeh husn-e-yaar ne keemat badhai
na tha yusuf ka varna iss kadar mol
pasand dil hua hai husn-e-surat
falak beche toh le shams-0-kamar mol
bhrosa zindgani ka nahin kuch
kafan le rakh ae 'aatish' bashar mol

shab-e-furkat[judai] mein yaar jaani ki
dard pehlu ne meharbani ki
munh dikhao bohat rahi takraar
arni[dikhao]-O lantrani[nahi dikhate] ki
kamar-e-yaar ho gayi gayab
sun ke dhoom apni naatvaani[weakness] ki
sere[sad] nemat se do-jahan ki kiya
de ke shabnam ko boond paani ki
misl-e-shabnam[like dew] hun, saaf dil kaana[satisfied]
mujhko dariya hai boondh paani ki
rahat-e-marg[marne ki khushi] ko na pooch 'aatish'
na rahi kadar zindgani ki

manzoor hashmi ki shayyiri
vo teer chhoda hua toh ussi kamaan ka tha
agarche haath, kisi aur meharbaan ka tha
guzar raha tha vo lamha jo darmiyan ka tha
magar ye waqt bade sakht imtihan ka tha
pata nahin, ki juda ho ke, kaise zinda rahe
hamara usska taaluq toh zism-0-jaan ka tha
hawa toh chalti hi rehti hai iss samandar mein
qasoor koi agar tha toh, baadbaan ka tha
vahi kahani kabhi jhoothi thi, kabhi sach thi
zara sa farq agar tha toh bas, bayan ka tha
qadam-qadam pe naye manzaron ki hairat thi
teri gali ka safar tha, ki ik jahan ka tha
hum apne naaam ke hisse ko dhoondhte bhi kahan
zameen ke paas jo kuch tha, aasman ka tha
kahin zameen pe saani nahin mila usska
vo shaks jaise kisi aur aasman ka tha

abdul mateen aarif ki shayyiri
talwaar mere sar pe latakti hai sahar ki
shab hun, mujhe chahat hai sitaron ki, qamar ki
gham kya hai idhar taaza hawa aaye na aaye
khidki toh khuli rehti hai hardum mere ghar ki
kaun utra tha angan mein mere chandani ban kar
ae chashm-e-talab, tune bhi mujhko na khabar ki
kya meri tarah tujhko bhi banvaas mila hai ?
pardesi, koi baat bata apne nagar ki
jab naav meri duub rahi thi sar-e-dariya
phaili nazar aayi mujhe aaghosh banvar ki
mumkin hai ki manzil pe puhnch paaye na raahi
gir jayegi ik roz yeh diwaar-e-safar bhi
chhalke meri aankhon se kai guzare zamaane
'aarif' sar-e-aaina jo hasrat se nazar ki

paa-ba-gil sab hain rihai ki kare tadbir kaun
dast-basta shehr mein khol meri zanjir kahun
mera sar haazir hai lekin mera munsif dekh le
kar raha hai mere fard-e-zurm ki tahareer kaun
aaj darwazon pe dastak jaani pehchani si hai
aaj mere naam laata hai meri taazir kaun
neend jab khwabon se pyari ho toh aise ahed mein
khwab dekhe kaun aur khwabon ko de taabir kaun
ret abhi pechhale makanon ki na vaapas aayi thi
phir lab-e-saahil gharunda kar gaya taamir kaun
saare rishte hizraton mein saath dete hain toh phir
shehr se jaate huye hota hai daaman geer kaun
meri chaadar toh cheeni thi shaam ki tanhai ne
beridaayi ko meri phir de gaya tashahir kaun
dushmanon ke saath mere dost bhi aazad hain
dekhana hai khenchta hai mujhpe pehla teer kaun

adam ki shayyiri
jo log jaan bhujh ke naadan ban gaye
mera khayal hai ki vo insan ban gaye
hum hashr mein gaye magar kuch na puchhiye
vo jaan bhujh kar vahan anjaan ban gaye
hanste hain hum ko dekh ke arbaab-e-aagahi[akalmand]
hum aap ki mizaaj ki pehchan ban gaye
majhdhar tak puhancha toh himmat ki baat thi
saahil ke aas paas hi tufaan ban gaye
insaniyat ki baat
toh itni hai shekh ji
badkismati se aap bhi insan ban gaye
kaante bahut thay daaman-e-fitrat mein ae 'adam'
kuch phool aur kuch mere armaan ban gaye

kisi ki yaad dil mein hai
koi ehsaas baaki hai
badalte mosaumon ke darmiyan
ek raaz baaki hai
abhi toh main safar mein hun
milegi manzilen mujhko
magar inn raston ke beech
kisi ka saath baaki hai
kahin par shaam dhalti hai
kahin par raat hoti hai
chale aao kisi din tum
hamara haal bhi dekho
hamara jism murda hai
magar ik saans baaki hai
umeed hai hamen phir bhi
milega vo hamen ik din
khuda par hai bharosa
abhi khuda ki zaat baaki hai
koi ehsaas baaki hai
badalte mosaumon ke darmiyan
ek raaz baaki hai
abhi toh main safar mein hun
milegi manzilen mujhko
magar inn raston ke beech
kisi ka saath baaki hai
kahin par shaam dhalti hai
kahin par raat hoti hai
chale aao kisi din tum
hamara haal bhi dekho
hamara jism murda hai
magar ik saans baaki hai
umeed hai hamen phir bhi
milega vo hamen ik din
khuda par hai bharosa
abhi khuda ki zaat baaki hai
abid ki shayyiri
muhabat ka soz-e-nihan reh gaya
bujhi aag lekin dhuaan reh gaya
hui kam na taqdeer ki gardishen
zamin thak gayi aasman reh gaya
mera dil hai aur hum_nashinon ka sog
musaafir bas ek karvan reh gaya
ayaa tha koi sar-e-dasht-e-junoon
khuda jaane 'abid' kahan reh gaya
bujhi aag lekin dhuaan reh gaya
hui kam na taqdeer ki gardishen
zamin thak gayi aasman reh gaya
mera dil hai aur hum_nashinon ka sog
musaafir bas ek karvan reh gaya
ayaa tha koi sar-e-dasht-e-junoon
khuda jaane 'abid' kahan reh gaya
ek jaisi lagti hai churiyan aur ladkiyan
toot'ti hai aur hasti hai churiyan aur ladkiyan
naaz ki inteha hai ek zara si thaes se
toot kar bikharti hai churiyan aur ladkiyan
zindgi ki dhadkano ko ek la'e si deti hai
zeest ko sajati hai churiyan aur ladkiyan
pyar ki ruton par bhi kya nikhaar aata hai
be-wajah khanakti hai churiyan aur ladkiyan
apne dukhon ko dil ke saath rakh kar bhool jaati hai
kis qadar chamkti hai churiyan aur ladkiyan
ek jaise lagti hai churiyan aur ladkiyan

mujhe ek baat kehni thi, tumhen itna batana tha
ke meri zindgi ho tum, tumhen hi sochta hun main
bohat masroof rehta hun, bohat se kaam hai mujhko
magar tumse nahi gaafil, tumhen hi sochta hun main
bohat se log milte thay, magar jabse tumhen dekha
na jaane kya hua mujhko, tumhen hi sochta hun main
mujhe auron se kya lena, mera logon se kya rishta
meri duniya ho tum hi tum, tumhen hi sochta hun main
nighahon mein basi ho tum, khayalon mein shamil ho
sukoon-e-dil ho tum mera, tumhen hi sochta hun main
bohat mushkil hai ye jeena, tumhare bin mera rehna
ke meri saans mein ho tum, tumhen hi sochta hun main
kabhi tanhai mein beitho, agar tanhai mein tum ho
toh itna yaad kar lena, tumhen hi sochta hun main

Saturday, April 4, 2009
mohammad deen tasir ki shayyiri
मेरी वफायें याद करोगे
रो'ओगे, फरयाद करोगे
मुझको तो बरबाद किया है
और किसे बरबाद करोगे
हम भी हँसेंगे तुम पर एक दिन
तुम भी कभी फरयाद करोगे
महफ़िल की महफ़िल है गमगीन
किस किस का दिल शाद करोगे
दुश्मन तक को भूल गए हो
मुझको तुम क्या याद करोगे
ख़त्म हुई दुशनाम-तराजी
या कुछ और इरशाद करोगे
जा कर भी नाशाद किया था
आ कर भी नाशाद करोगे
छोडो भी तासीर की बातें
कब तक उस को याद करोगे
रो'ओगे, फरयाद करोगे
मुझको तो बरबाद किया है
और किसे बरबाद करोगे
हम भी हँसेंगे तुम पर एक दिन
तुम भी कभी फरयाद करोगे
महफ़िल की महफ़िल है गमगीन
किस किस का दिल शाद करोगे
दुश्मन तक को भूल गए हो
मुझको तुम क्या याद करोगे
ख़त्म हुई दुशनाम-तराजी
या कुछ और इरशाद करोगे
जा कर भी नाशाद किया था
आ कर भी नाशाद करोगे
छोडो भी तासीर की बातें
कब तक उस को याद करोगे
mohammad deen tasir ki shayyiri
meri vafaayen yaad karoge
ro'oge, fariyaad karoge
mujhko toh barbaad kiya hai
aur kise barbaad karoge
hum bhi hansenge tum par ek din
tum bhi kabhi fariyaad karoge
mehfil ki mehfil hai gamgiin
kis kis ka dil shaad karoge
dushman tak ko bhool gaye ho
mujhko tum kya yaad karoge
khatam hui dushman-taraazi
ya kuch aur irshaad karoge
ja kar bhi naashad karoge
chhodo bhi 'tasir' ki baatein
kab tak ussko yaad karoge
ro'oge, fariyaad karoge
mujhko toh barbaad kiya hai
aur kise barbaad karoge
hum bhi hansenge tum par ek din
tum bhi kabhi fariyaad karoge
mehfil ki mehfil hai gamgiin
kis kis ka dil shaad karoge
dushman tak ko bhool gaye ho
mujhko tum kya yaad karoge
khatam hui dushman-taraazi
ya kuch aur irshaad karoge
ja kar bhi naashad karoge
chhodo bhi 'tasir' ki baatein
kab tak ussko yaad karoge
warq hai mere saheefah[book] ka, aasman kya hai
raha yeh chaand toh shayad tumhara chehra hai
jo puchhta tha meri umar usse keh dena
kisi ke pyar ke mausham ka ek jhonka hai
fiza ki shaakh pe lafzon ke phool khilne do
jise sukuut[peace] samjhte ho zard patta hai
mere qadam bhi loi shaam laash le leti
mera safar bhi toh suraj ki tarah tanha hai
zaruur chaand ke honton pe mera naam aaya hoga
meri mizhah[palken] se sitara sa koi tuuta hai
har ek shaks ko umeed ussi se hai
tamaam shehr mein voh ek hi toh ruswa hai

fazal taabish ki shayyiri
na kar shumaar ki har shai gini nahin jaati
ye zindgi hai hisabon se jii nahin jaati
ye narm lehja, ye rangini-e-bayaan, ye khalus
magar ladai toh aise ladi nahin jaati
sulagte din mein thi bahar, badan mein shab ko rahi
bichhad ke mujhse bas ek teergi nahin jaati
naqaab daal do jalte uddas suraj par
andhere zism mein kyun roshni nahin jaati
har ek raah sulgate huye manaazir hain
magar ye baat kisi se kahi nahin jaati
machalte paani mein uunchai ki talash fuzool hai
pahaad par toh koi bhi nadi nahin jaati

zafar sahbai ki shayyiri
यह दुनिया एक ख्वाबों की ज़मीन है
यहाँ सब कुछ है और कुछ भी नहीं है
तेरे छूने से पहले वाहमा था
मुझे अब अपने होने का यकीं है
जो सोचो तो सुलग उठती हैं साँसें
तेरा एहसास कितना आतिशीं है
मोहाजिर बन गए हैं मेरे आंसू
न आँचल है न कोई आस्तीन है
जगह दूँ कैसे तुझको अपने दिल में
यहाँ तो तेरा गम मसनद-नशीं ही
मेरे चेहरे पे कोई झुक रहा है
यह लम्हा तो खुदा जैसा हसीं है
यहाँ सब कुछ है और कुछ भी नहीं है
तेरे छूने से पहले वाहमा था
मुझे अब अपने होने का यकीं है
जो सोचो तो सुलग उठती हैं साँसें
तेरा एहसास कितना आतिशीं है
मोहाजिर बन गए हैं मेरे आंसू
न आँचल है न कोई आस्तीन है
जगह दूँ कैसे तुझको अपने दिल में
यहाँ तो तेरा गम मसनद-नशीं ही
मेरे चेहरे पे कोई झुक रहा है
यह लम्हा तो खुदा जैसा हसीं है
zafar sahbai ki shayyiri
yeh duniya ek khwaabon ki zamiin hai
yahan sab kuch hai aur kuch bhi nahin hai
tere chhune se pehle vehma tha
mujhe ab apne hone ka yaqiin tha
jo socho toh sulag uthti hain saansein
tera ehsaas kitna aatishiin hai
mohaajir ban gaye hain mere aansuu
na aanchal hai na koi aastiin hai
jagah duun kaise tujhko apne dil mein
yahan toh tera gam masnad-nashiin hai
mere chehre pe koi jhuk raha hai
yeh lamha toh khuda jaisa hasiin hai

meer dard ki shayyiri
है ग़लत गर गुमान में कुछ है
तुझ सिवा भी जहान में कुछ है
दिल भी तेरे ही ढंग सीखा है
आन में कुछ है, आन में कुछ है
बे-ख़बर तेग-ऐ-यार कहती है
बाकी इस नीम-जान में कुछ है
इन दिनों कुछ अजब है मेरा हाल
देखता कुछ हूँ, ध्यान में कुछ है
दर्द तो जो करे हैं जी का ज़ियाँ
फाएदा इस जियान में कुछ है
तुझ सिवा भी जहान में कुछ है
दिल भी तेरे ही ढंग सीखा है
आन में कुछ है, आन में कुछ है
बे-ख़बर तेग-ऐ-यार कहती है
बाकी इस नीम-जान में कुछ है
इन दिनों कुछ अजब है मेरा हाल
देखता कुछ हूँ, ध्यान में कुछ है
दर्द तो जो करे हैं जी का ज़ियाँ
फाएदा इस जियान में कुछ है
meer dard ki shayyiri
hai galat gar gumaan mein kuch hai
tujh siva bhi jahan mein kuch hai
dil bhi tere hi bhang seekha hai
aan mein kuch hai, aan mein kuch hai
be-khabar teg-e-yaar kehti hai
baaqi iss neem-jaan mein kuch hai
inn dinon kuch ajab hai mera haal
dekhta kuch hun, dhayan mein kuch hai
dard toh jo kare hain jii ka ziyaan
faiyda iss ziyaan mein kuch hai
tujh siva bhi jahan mein kuch hai
dil bhi tere hi bhang seekha hai
aan mein kuch hai, aan mein kuch hai
be-khabar teg-e-yaar kehti hai
baaqi iss neem-jaan mein kuch hai
inn dinon kuch ajab hai mera haal
dekhta kuch hun, dhayan mein kuch hai
dard toh jo kare hain jii ka ziyaan
faiyda iss ziyaan mein kuch hai
zafar iqbal ki shayyiri
यहां किसी को भी कुछ हस्ब-ए-आरज़ू न मिला
किसी को हम न मिले और हम को तू न मिला
गिज़ाल-ए-अश्क सर-ए-सुबह दूब-ए-मिज़्गाँ पर
कब अपनी आंख खुली और लहू लहू न मिला
चमकते चांद भी थे शहर-ए-शब के एवान में
निगार-ए-गम सा मगर कोई शमा-रू[face] न मिला
उन्ही की रम्ज़[secret]] चली है गली गली में यहां
जिन्हें इधर से कभी इज़्न[permission]-ए-गुफ्तगू न मिला
फिर आज मैकदा-ए-दिल से लौट आये हैं
फिर आज हम को ठिकाने का सुबू न मिला

yahan kisi ko bhi kuch hasb-e-aarzu na mila
kisi ko hum na mile aur hum ko tu na mila
ghizaal-e-ashk sar-e-subah duub-e-mizhgaan par
kab apni aankh khuli aur lahu lahu na mila
chamkte chaand bhi thay shehr-e-shab ke aivaan mein
nigaar-e-gham sa magar koi shamaa-ruu[face] na mila
unnhi ki ramz[secret] chali hai gali gali mein yahan
jinhen idhar se kabhi izn[permission]-e-guftgu na mila
phi aaj mail_kada-e-dil se laut aaye hain
phir aaj humko thikane ka subuu na mila

नहीं कि मिलाने मिलाने का सिलसिला रखना
किसी भी सतह पे कोइ तो राबता रखना
मरेंगे लोग हमारे सिवा भी तुम पे बोहत
यह जुर्म है तो फीर इस जुर्म की सज़ा रखना
मदद की तुम से तवक्को तो खैर क्या होगी
गरीब-यें-शहर-यें-सितम हूँ मेरा पता रखना
bas एक शाम हमें चाहिए ण पूछना क्यूं
यह बात और किसी शाम पे उठा रखना
नए सफ़र पे रवाना हुआ हूँ अज-सर-यें-नोऊ
जब आऊँगा तो मेरा नाम भी नया रखना
फसील-यें-शौक उठाना जफर ज़रूर मगर
किसी तरफ से निकालने का रास्ता रखना

nahin ki milne ka silsila rakhna
kisi bhi satah pe koi toh rabta rakhna
marenge log hamare siva bhi tum pe bohat
yeh zurm hai toh phir iss zurm ki saza rakhna
madad ki tum se tavaqo toh khair kya hogi
garib-e-shehr-e-sitam hun mera pata rakhna
bas ek sham hamen chaahiye na puchhna kyun
yeh baat aur kisi shaa pe utha rakhna
naye safar pe ravana hua hun az-sar-e-nau
jab aaunga toh mera naam bhi naya rakhna
fasil-e-shauq uthana zafar zaroor magar
kissi taraf se niklne ka rasta rakhna

yaas yagaana changezi ki shayyiri
सिलसिला छिड़ गया जब यास के फ़साने का
शमा गुल हो गयी दिल बुझ गया परवाने का
वाए हसरत कि ताल्लुक़ न हुआ दिल को कहीं
न तो काबे का हुआ मैं न तो सनम-खाने का
खिल्वत-ए-नाज़ कुजा और कुजा अहल-ए-हवस
ज़ोर क्या चल सके फ़ानूस से परवाने का
वाह किस नाज़ से आता है तेरा दौर-ए-शबाब
जिस तरह दौर चले बज़्म में परवाने का
शमा गुल हो गयी दिल बुझ गया परवाने का
वाए हसरत कि ताल्लुक़ न हुआ दिल को कहीं
न तो काबे का हुआ मैं न तो सनम-खाने का
खिल्वत-ए-नाज़ कुजा और कुजा अहल-ए-हवस
ज़ोर क्या चल सके फ़ानूस से परवाने का
वाह किस नाज़ से आता है तेरा दौर-ए-शबाब
जिस तरह दौर चले बज़्म में परवाने का
yaas yagaana changezi ki shayyiri
silsila chhid gaya jab 'yaas' ke fasaane ka
shama gul ho gayi dil bhujh gaya parwane ka
vaai hasrat ki talluq na hua dil ko kahin
na toh kaabe ka hua main na toh sanam khane ka
khilvat-e-naaz kuja aur kuja ahl-e-hawas
zor kya chal sake faanuus se parvaane ka
waah kis naaz se ataa hai tera daur-e-shabaab
jis tarah daur chale bazm mein parwane ka

shakeb jalaali ki shayyiri
फिर सुन रहा हूँ गुज़रे ज़माने की चाप को
भूला हुआ था देर से में अपने आप
रहते हैं कुछ मलूल[sad] से चेहरे पड़ोस में
इतना न तेज़ कीजिए ढोलककी थाप को
अश्कों की एक नहर थी जो खुश्क हो गयी
क्यूँ कर मिटाऊँ दिल से तेरे गम की छाप को
कितना ही बे-किनार समंदर हो, फिर भी दोस्त
रहता है बे-करार नदी के मिलाप को
पहले तो मेरी याद से आई हया उन्हें
फिर आईने में चूम लिया अपने आपको
तारीफ़ क्या हो कामत-ए-दिलदार की शकेब
ताज्सीम कर दिया है किसी ने अलाप को

phir sun raha hun guzre zamane ki chaap ko
bhula hua tha der se main apne aapko
rehte hain kuch maluul[sad] se chehre padosh mein
itna na tez kijiye dholak ki thaap ko
ashkon ki ek nehar thi jo khusk ho gayi
kyunkar mitaaon dil se tere gham ki chaap ko
kitna hi be-kinaar samandar ho, phir bhi dost
rehta hai be-qaraar nadi ke milap ko
pehle toh meri yaad se aayi haya unnhen
phir aaine mein chuum liya apne aapko
taarif kya ho qaymat-e-didaar ki 'shakeb'
tajsiim kar diya hai kisi ne alaap ko

shaharyar ki shayyiri
ज़िंदगी जैसी तवक्को थी नहीं, कुछ कम है
हर घडी होता है अहसास कहीं कुछ कम है
घर की तामीर तसव्वुर ही में हो सकती है
अपने नक्शे के मुताबिक़ यह ज़मीन कुछ कम है
बिछड़े लोगों से मुलाक़ात कभी फिर होगी
दिल में उम्मीद तो काफी है, यकीन कुछ कम है
अब जिधर देखिए लगता है कि इस दुनिया में
कहीं कुछ ज़्यादा है, कहीं कुछ कम है
आज भी है तेरी दूरी ही उदासी का सबब
यह अलग बात कि पहली सी नहीं कुछ कम है

zindgi jaisi tavaqo thi nahin, kuch kam hai
har ghadi hota hai ehsaas kahin kuch kam hai
ghar ki taamir tasavvur hi mein ho sakti hai
apne naqshe ke mutaabiq yeh zamin kuch kam hai
bichhde logon se mulaaqat kabhi phir hogi
dil mein ummid toh kaafi hai, yaqin kuch kam hai
ab jidhar dekhiye lagta hai ki iss duniya mein
kahin kuch zyada hai, kahin kuch kam hai
aaj bhi hai teri duuri hi udaasi ka sabab
yeh allag baat ki pehli si nahin kuch kam hai

safi lukhnavi ki shayyiri
ग़ज़ल उसने छेड़ी मुझे साज़ देना
ज़रा उम्र-ए-रफ्ता को आवाज़ देना
कफ़स ले उडूं मैं, हवा अब जो सनके
मदद इतनी ए बाल-ए-परवाज़ देना
न खामोश रहना मेरे हम-सफीरो
जब आवाज़ दूँ तुम भी आवाज़ देना
कोई सीख ले दिल की बे-ताबियों को
हर अंजाम में रंग-ए-आगाज़ देना
दलील-ए-गराँ-बारी-ए-संग-ए-गम से
सफी टूट कर दिल को आवाज़ देना
ज़रा उम्र-ए-रफ्ता को आवाज़ देना
कफ़स ले उडूं मैं, हवा अब जो सनके
मदद इतनी ए बाल-ए-परवाज़ देना
न खामोश रहना मेरे हम-सफीरो
जब आवाज़ दूँ तुम भी आवाज़ देना
कोई सीख ले दिल की बे-ताबियों को
हर अंजाम में रंग-ए-आगाज़ देना
दलील-ए-गराँ-बारी-ए-संग-ए-गम से
सफी टूट कर दिल को आवाज़ देना
safi lukhnavi ki shayyiri
ghazal ussne chhedi mujhe saaz dena
zara umr-e-rafta ko awaaz dena
qafas le udon main, hawa ab jo sanke
madad itni ae baal-e-parwaaz dena
na khamosh rehna mere hum-safiiro
jab awaaz dun tum bhi awaaz dena
koi seekh le dil ki be-taabiyon ko
har anjaam mein rang-e-aagaz dena
daleel-e-garaan-baari-e-sang-e-gham se
'safi' tuut kar dil ko aawaz dena
zara umr-e-rafta ko awaaz dena
qafas le udon main, hawa ab jo sanke
madad itni ae baal-e-parwaaz dena
na khamosh rehna mere hum-safiiro
jab awaaz dun tum bhi awaaz dena
koi seekh le dil ki be-taabiyon ko
har anjaam mein rang-e-aagaz dena
daleel-e-garaan-baari-e-sang-e-gham se
'safi' tuut kar dil ko aawaz dena
sakib laknavi ki shayyiri
हिज्र की शब नाला-ए-दिल वह सदा देने लगे
सुनने वाले रात कटने की दुआ देने लगे
किस नज़र से आप ने देखा दिल-ए-मजरूह को
ज़ख्म जो कुछ भर चले थे फिर हवा देने लगे
जुज़ ज़मीन-ए-कू-ए-जानां कुछ नहीं पेश-ए-निगाह
जिस का दरवाज़ा नज़र आया सदा देने लगे
[except the land of beloved nothing is in sight]
बागबां ने आग दी जब आशियाने को मेरे
जिन पे तकिया था वही पत्ते हवा देने लगे
मुठ्ठियों में ख़ाक ले कर दोस्त आये वक़्त-ए-दफ़न
ज़िंदगी भर की मोहब्बत का सिला देने लगे
आईना हो जाये मेरा इश्क़ उनके हुस्न का
क्या मज़ा हो दर्द अगर खुद ही दवा देने लगे

hijr ki shab naala-e-dil voh sada dene lage
sun'ne wale raat katne ki dua dene lage
kis nazar se aap ne dekha dil-e-majrooh ko
zakhm jo kuch bhar chale thay phir hawa dene lage
juz zamin-e-kuu-e-jaana kuch nahin pesh-e-nigah
jis ka darwaza nazar aaya sada dene lage
baagbaan ne aag di jab aashiyaane ko mere
jinpe takiya tha vahi patte hawa dene lage
muthiyon mein khaak le kar dost aaye waqt-e-dafan
zindgi bhar ki mohbat ka sila dene lage
aaina ho jaaye mera ishq unnke husn ka
kya maza dard jab khud hi dawa dene lage

amir aagha qizalbash ki shayyiri
टूटते रिश्तों का आईना अजब हो जायेगा
एक दिन इंसान बे-नाम-ओ-नसब हो जायेगा
सुबह के हाथों से गिर जायेगा सूरज शाम तक
देखते देखते मस्लूब-ए-शब हो जायेगा
मेरे उस के दरमियाँ हासिल कई कोहसार हैं
मुझ तक आते आते बादल तिश्ना-लैब हो जायेगा
कोई उस जैसा नहीं है शहर की इस भीड़ में
देख लेना वोः भी एक दिन बे-अदब हो जायेगा
उसने पूछा था कभी मेरी उदासी का सबब
अब कोई मत पूछना, वरना गज़ब हो जायेगा

tuute rishton ka aaina ajab ho jayega
ek din insan be_naam-0-nasab ho jayega
suban ke haathon se gir jayega suraj sham tak
dekhte hi dekhte masluub-e-shab ho jayega
mere usske darmiyan haasil kai kohsaar hain
mujh tak aate aate badal tishna-lab ho jayega
koi uss jaisa nahin hai shhr ki iss bheed mein
dekh lena voh bhi ek din be_adab ho jayega
ussne puchha tha kabhi meri udaasi ka sabab
ab koi mat puchhna, varna gazab ho jayega

khaar dehlvi ki shayyiri
उसी की दास्तानें हैं, उसी की किस्सा-ख्वानी है
वो लुत्फ़-ए-खास जो मुझ पर तेरा ए यार जानी है
न जा, जालिम अभी तो तिश्ना-ए-दीदार हैं आँखें
ज़रा दम ले अभी तो दास्तान-ए-गम सुनानी है
मोहब्बत जुल्फ का आसेब, जादू है निगाहों का
मोहब्बत फितना-ए-महशर, बला-ए-नागाहानी है
बुझी हसरत का नौहा है, दिल-ए-मरहूम का मातम
ब-अल्फाज़-ए-दगर ये शेर-ख्वानी सोज़-ख्वानी है
घराना है हमारा दाग का हम दिल्ली वाले हैं
ज़माने में मुसल्लम खार अपनी खुश-बयानी है

ussi ki dastanen hain, usski qissa-e-khwani hai
voh lutf-e-khaas jo mujh par tera ae yaar jaani hai
na ja, zalim abhi toh tishna-e-didar hain aankhein
zara dam le abhi toh dastan-e-gham sunaani hai
muhbbat fitna-e-mahshar, balaa-e-naagahaani hai
bujhi hasrat ka nauha hai, dil-e-marhuum ka maatam
ba-alfaaz-e-dagar ye sher-khwaani soz-khwaani hai
gharaana hai hamara daag ka hum dili wale hain
zamane mein musallam khaar apni khush-bayaani hai

Subscribe to:
Posts (Atom)