Monday, June 1, 2009

naaz ki shayyiri

उनकी आंखों में लरजते हुए आँसू की क़सम
मैंने साहिल पे मचलते हुए तूफान की देखा

naaz ki shayyiri

unnki aankhon mein larazte huye aansun ki qasam
maine saahil pe machalte huye tufan ki dekha

unknown

वोह फूल सा चेहरा, वोह भरी बज्म की नज़रें
काँटों में घिरा हुस्न-ए-गुलिस्तान नज़र आया

unknown

woh phool sa chehra, woh bhari bazm ki nazren
kanton mein ghira husn-e-gulistan nazar aaya

unknown

भरम खुला है जब उससे हम-कलाम हुए
हमें भी जौम[proud] था प्यारे सुखन-शनासी[to know how to speak] का

unknown

bharam khula hai jab usse ham-kalaam huye
hamen bhi za'am[proud] tha pyaare sukhan-shanaasi[to know how to speak] ka

firaq gorkhpuri ki shayyiri

निगाह-ऐ-नाज़ उतरना इसे नहीं कह्ते
दिलों में रह गयीं लहरा के बिजलियाँ तेरी

firaq gorkhpuri ki shayyiri

nigaah-e-naaz utarna isse nahin kehte
dilon mein reh gayin lehra ke bijliyaan teri

firaq gorkhpuri ki shayyiri

फर्श-ऐ-मैखाना पे जुगनू से चमक जाते हैं
दीदानी[worth seeing] है तेरी आहिस्ता-रावि[walking slowly], ऐ साकी !

firaq gorkhpuri ki shayyiri

farsh-e-maikhaana pe jugnoo se chamak jaate hain
deedani[worth seeing] hai teri aahista-ravi[walking slowly], ae saaqi !

firaq gorkhpuri ki shayyiri

तश्बीहें[metaphors] खड़ी हैं 'हाथ बांधे'
क्या कहिये के क्या तेरा बदन है?

firaq gorkhpuri ki shayyiri

tashbiihen[metaphors] khadi hain 'haath baandhe'
kya kahiye ke kya tera badan hai?

faraz ki shayyiri

सफर तावील[long] सही गुफ्तगू मज़े की रही
वोह खुश मिजाज अगर था तो मीर मैं भी न था

faraz ki shayyiri

safar taweel[long] sahi guftagu maze ki rahi
woh khush mizaj agar tha toh meer maiN bhi na tha

unknown

वोह तो कुछ हो ही गई तुमसे मोहब्बत वर्ना
हम वोह खुदसर हैं की अपनी भी तमन्ना करें

unknown

woh toh kuch ho hi gayi tumse mohbbat varna
hum woh khudsar hain ki apni bhi tamanna na karen

unknown

क़ैस का नाम सुना होगा हमसे भी मुलाकात करो
इश्क-ओ-जूनून की मंजिल मुश्किल सब की यह औकात कहाँ

unknown

qais ka naam suna hoga hamse bhi mulakat karo
ishq-o-junun ki manzil mushkil sab ki yeh auqaat kahan

"Daag" ki shayyiri

तर-दामनी पे शैख़ हमारी न जाईयो
दमन जो निचोडें तो फरिश्ते वजू करें

"Daag" ki shayyiri

tar-daamani pe shaikh hamari na jaayio
daman jo nichoden toh frishte vazu karen

unknown

जीकर उस परी-वश[beautiful as fairy] का और फिर बयान अपना
बन गया रकीब, जो था राजदां अपना

unknown

zikar uss pari-wash[beaitiful as fairy] ka aur phir bayaan apna
ban gaya raqeeb, jo tha raazdaan apna

majrooh sultanpuri ki shayyiri

रोक सकता हमें जिदां[prison]-ऐ-बला[problem] क्या 'मजरूह'
हम तो आवाज़ हैं दीवारों से छन जाते हैं

majrooh sultanpuri ki shayyiri

rok sakta hamen zidaan[prison]-e-balaa[problem] kya 'majrooh'
hum toh aawaz hain deewaron se chan jaate hain

nusrat fateh ali khan ki shayyiri

tumhen dillagi bhool jaani padegi
mohbbat ki raahon mein aa kar toh dekho
tadapne pe mere na phir tum hasoge
kabhi dil kisi se laga kar toh dekho
honton ke paas aaye hassi kya mazaal hai
dil ka moamla hai koi dillagi nahi
zakhm pe zakhm kha ke ji apne laho ke ghoont pe
aah na kar labon ko sii ishq hai dillagi nahi
dil laga kaar pata chalega tumhen
aashqi dillagi nahi hoti
kuch khali nahi hai ishq ki laag
pani na samjh ye aag hai aag
khoon rulayegi yeh lagi dil ki
khel samjho na dillagi dil ki
ye ishq nahi asan bas itna samjh lijiye
ik aag ka dariya hai aur doob ke jana hai
tumhen dillagi bhool jani padegi
mohbbat ki rahon mein aa kar toh dekho
tadpane pe mere na phir tum hasoge
waffaon ki humse tawwaqo nahi hai
magar ek baar azma kar toh dekho
zamane ko apna bana kar toh dekho
hamen bhi tum apna bana kar toh dekho
khuda ke liye chod do ab ye parda
rukh se naqaab utha kar
badi der ho gayi mahol ko tilawat-e-quran kiye huye
khuda ke liye chod do ab ye parda
hum na samjhe teri nazron ka taqaza kya hai
kabhi parda kabhi jalwa ye tamasha kya hai
khuda ke liye chod do ab ye parda
jaan-e-ja hamse ye uljhan nahi dekhi jaati
ke khuda ke liye chod do ab ye parda
ke hain aaj hum tum nahi ghaiir koi
shab-e-wasl bhi hai hizaab iss qadar kyun
zara rukh se aanchal utha kar toh dekho
jaffein bohat ki bohat zulm dhaaye
kabhi ik nigah-e-karam iss taraf bhi
hamesha huye dekh kar mujhko barhm
kisi din zara muskara kar toh dekho
jo ulfat mein har ik sitam hai ganwara
ye sab kuch hai paas-e-waffa tumse varna
satate ho din raat jis tarah mujhko
kisi ghaiir ko yun sata kar toh dekho
agar chahe kisi baat par khaffa hain
toh achcha ye hi hai tum apni si kar lo
woh maane na maane ye marzi hai unnki
magar unnko purnam mana kar toh dekho
tumhen dillagi bhool jani padegi
mohbbat ki rahon mein aa kar toh dekho

insha allah khan ki shayyiri

मेरा ख़त उसने पढ़ा, पढ़ के नामबर से कहा
ये ही जवाब है इसका कोई जवाब नही

insha allah khan ki shayyiri

mera khat usne padha, padh ke naama-bar se kaha
yehi jawaab hai isska koi jawaab nahi

unknown

फ़रिश्ता मुझको कहने से मेरी तहकीर[insult] होती है
मैं मस्जूद-ऐ-मलायक[prostrated by angles] हूँ मुझे इन्सान रहने दो

unknown

farishta mujhko kehne se meri tahqeer[insult] hoti hai
main masjood-e-malaayak[prostrated by angles] hun mujhe insan rehne do

unknown

तुम्हारे आस्ताँ को आस्ताँ हमने बनाया है
अगर हम सर उठा लें, आस्ताँ बाक़ी न रह जाए

unknown

tumhare aastaan ko aastaan humne banaya hai
agar hum sar utha len, aastaan baaqi na reh jaaye

unknown

एहबाब[friend] को रही मेरे आयुब[weekness] की तलाश
मैं पूर-खुलूस[sincere] उनके हुनर तोलता रहा

unknown

ehbaab[friend] ko rahi mere ayub[weekness] ki talash
main pur-khulus[sincere] unnke hunar tolta raha

unknown

कभी अफ़सोस आता है कभी रोना आता है
दिल-ए-बीमार के हैं दो ही अयादत वाले

unknown

kabhi afsos aata hai kabhi rona aata hai
dil-e-beemar ke hain do hi ayaadat wale

unknown

इस कदर कहत[कमी]-ऐ-वफ़ा है मेरी दुनिया में नदीम
जो ज़रा हंस के मिले उसको मसीहा समझूँ

unknown

iss qadar qahat[kami]-e-waffa hai meri duniya mein nadeem
jo zara hans ke mile ussko maseeha samjhun

unknown

मोहब्बत को समझना है तो नासेह ख़ुद मोहब्बत कर
कि साहिल से कभी अंदाजा-ए-तूफ़ान नही होता

unknown

mohbbat ko samajhna hai toh naaseh khud mohbbat kar
ke saahil se kabhi andaza-e-tufaan nahi hota

unknown

तुम आसमां की बुलंदी से जल्द लौट आना
मुझे ज़मीन के मसायाल [problem] पे बात करनी है

wel come