
vo jalim meri har khwahish ye keh kar taal jaata hai
disambar - janvary mein kaun nainitaal jaata hai
abhi toh bewafai ka koi mausham nahin aaya
abhi se udd ke kyun ye reshmi rumaal jaata hai
wajaart ke liye hum doston ka saath mat chodo
idhar iqbal aata hai udhar iqbal jaata hai
munasib hai ki pehle tum bhi aadamkhor ban jaao
kahin sansad mein khaane koi chawl-daal jaata hai
ye mere mulak ka naksha nahin hai ek kaasa hai
idhar se jo guzarta hai vo sikka daal deta hai
agar sach bolne walon se khatra hai hukumat ko
toh phir sun le hukumat haath se bangaal jaata hai
mere maula mujhe sach baat kehne ka hunar de de
tere dar se bhikhari ho ke maalamaal jaata hai
muhbbat roz patthar se hamen insan banaati hai
tasssub roz inn ankhon pe parda daal deta hai
jis tarah chahen qaram farmayiye
dil mein rahiye dard bante jayiye
sochiye toh husn kaafir kuch nahin
dekhiye aur dekhte reh jayiye
ho chuki taskeen kyun samjhyiye
aap ko jana hai achcha jaayiye
unnke ghar aur sirf unnke ghar
jaayiye aur bin bulaye jayiye
maine khud ko "main"
kehna chod diya
jab se uss ne kaha hai
"tum mere ho" ....... !!!!
ye jaan jism se ho sakti hai juda lekin
vo meri ruuh ke andhar hai kya kiya jaaye
bekhayali mein kai shehr ujad jaate hain ....
har naaye mod par kuch log bichhad jaate hain
.jpg)
bheed se kat ke na baitha karo tanhai mein ....
dhuup mein achche bhale naksh bigad jaate hain
kai gharon ko nigalne ke baad aati hai
madad bhi shahr ke jalne ke baad aati hai
najaane kaisi mehak aa rahi hai basti mein
wahi jo duudh ubalne ke baad aati hai
nadi pahadon se maidan mein toh aati hai
magar ye barf pighalne ke baad aati hai
ye jhuggiyan toh garibon ki khankahen hain
kalandari yahn palne ke baad aati hai
gulaab aise hi thode gulaab hota hai
ye baat kaanton pe chalne ke baad aati hai
shikayatein toh hamen mausham-e-bahaar se hai
khizan toh phulne-phalne ke baad aati hai
hizr ka tara doob raha hai, dhalne lagi hai raat wasi
katra katra baras rahi hai ashqon ki barsaat wasi
tere baad ye duniya wale mujhko pagal kar denge
khushbu ke des mein le chal mujhko saath wasi
yunhi chup ki muhar laga kar kab tak gumsum baithoge ?
khamoshi se dam ghut-ta hai, chedo koi baat wasi
aaj toh usska chehra bhi kuch badla badla lagta hai
mausam badla duniya badli badal gaye halaat wasi
mere ghar khushboo ka ye raqs ussi ke dam se hai
uss ke saath chali jayegi phoolon ki barsaat wasi
chod wasi ab usski yaadien tujhko pagal kar dengi
tu qatra hai wo dariya hai dekh apni aukaat wasi
yun akele mein usse ehd-e-waffa yaad aaye
jaise bande ko museebat mein khuda yaad aaye
jaise bhatke huye panchi ko nashemann apna
jaise apnon ke bichadne pe dua yaad aaye
jaise dhalti hui shaamon ko sawera koi
jaise pinjre mein parindon ko fiza yaad aaye
jaise budhaye ko khayalaat mein pachpan apna
jaise bachche ko sharart pe saza yaad aaye
jaise ujdi hui basti ko zamana apna
jaise tufan ke thehrerien pe diya yaad aaye
yun akele mein usse ehd-e-waffa yaad aaye
waffa ke vaade vo saare bhula gaya chup chap
vo mere dil ki diwarein hila gaya chup chap
gham-e-hayat ke tapte huye biyanbaan mein
vo tanha chod ke mujhko chala gaya chup chap
na jaane kaun sa vo badnaseeb lamha tha
jo gham ki aag mein mujhko jala gaya chup chap
main jis ko chuti hun ishrat vo zakhm deta hai
vo phool aise chamn mein khila gaya chup chap
waffa ke vaade vo saare bhula gaya chup chap
vo mere dil ki diwarein hila gaya chup chap
mohbbat ab nahi hogi
ye kuch din baad mein hogi
sitare damakte hain
kisi ki chashm-e-hairan mein
mulaqatein jo hoti hain
zamal-e-abr-o-baran mein
ye na abad waqton mein
dil-e-nashad mein hogi
muhbbat ab nahi hogi
ye kuch din baad mein hogi
guzar jayenge jab ye din
ye unnki yaad mein hogi
teri warfta nigahein teri bebaak ada
main tere shaunq-tajasus ka sabab janta hun
aur ye purlutf tabssum ki barsati boondien
bekhabar sunta hoon harchand ke sab jaanta hoon
main ke na_waqif-e-aadab-e-sukhan lagta hoon
mujhko arza-e-takalluf bhi nahi ho sakti
dekhne walon ko kuch aur nazar aata hai
meri har saans amaanat hi kisi aur ki hai
mujhse tum shonq ke azhaar ki koshish na karo
mere atwaar-o-khad-o-khaal pe jaan deti ho
main kisi aur ka hoon tum meri khwahish na karo
juda rehta hoon main tumse toh dil betaab rehta hai
chaman se duur reh ke phool kab shaadaab rehta hai ....
hazaron bastiyan aa jayengi tufaan ki zadd mein
meri aankhon mein ik aansu nahin sailaab rehta hai
badi mushkil se aate hain samjh mein lakhnau waale
dilon mein fansle lab pe magar aadab rehta hai
mere munh par ye sunehra laal aanchal rehne de
achcha lagta hai aankhon mein ye kaajal rehne de
mere dil mein mat kar talaash ye duniya-daari
mujhe dilli ka wahi aawara pagal rehne de
apne iss dil mein mujhe jagah bhi na de ab
mujhe wahi barsata, bhatkta, baadal rehne de
chand roz baad bohat duur chala jaunga tujhse
mere paas bhi fursat ke ek-do pal rehne de
"bedil" maah-e-sitambar ki ye atthara taareekh hai
kahan jayega tu ghar ko chod kar chal rehne de
hum bhi aankhon mein khoon dilon mein junoon rakhte hai
dilli hi nahin pareshan saara dehra doon rakhte hai
rona dhona ik tumhe hi nahin aata meri jaan
hum bhi apni aankhon mein kai mansoon rakhte hai
tum ho kahin ke bade naamcheen shayar toh kya
hum kamron mein bandh tere jaise aflatoon rakhte hai
"bedil" ke gusse ko parkhane ki himakat na kar
tu shayad jaanta nahin hum aankhon mein khoon rakhte hain
tum bhi pareshan hum bhi pareshan dilli mein
hum do hi toh dukhi hai insan dilli mein
kisi bhookhe ko yahan koi roti nahi deta
dil chotte aur bade hai makan dilli mein
rishta banta nahi ki toot jaata hai pehle
ishq ho ya dosti kuch nahi aasan dilli mein
aate aate aaya khayal ye bhi tauba ki
maut hai mehangi sasti hai jaan dilli mein
yun toh hadse har raat hote hain 'bedil' magar
bachte nahi subah unnke nishan dilli mein
mere peeche zamana pad gaya toh
kahin sab se nibhana pad gaya toh ?
jahan ik baar pagdi gir chuki hai
ussi mehfil mein jana pad gaya toh ?
jise luta tha sau haathon se humne
khazana vo lutana pad gaya toh ?
hamen hasne ki aadat hai ghamon mein
khushi mein muskurana pad gaya toh ?
dubone mein lage ho dusron ko
kabhi khud ko bachana pad gaya toh ?
jise tum bhool jana chahte ho
usse sachmuch bhulana pad gaya toh ?
na itna naaz kijiye dosti par
kisi din aazmana pad gaya toh ?
zara si aur paane ki hawas mein
kahin sab kuch ganwana pad gaya toh ?
har kisi ki zuban par main hun
satwein aasman par main hun
reh gaye saare aasman peeche
itni oonchi uddan par main hun
kuch shikaari hain muntzir mere
aur apni machaan par main hun
zindgi ! dekh le uddasi ko
aakhri payedaan par main hun
aap toh khatam kar chuke thay hamen
kya karun meharbaan ! par "main" hun
peecha karta hai jis par aaina
umar ki uss dhalaan par main hun
lo mil gaya zakhm, umr bhar rulane ko
shukriya tera, mera saath chod jaane ko
toote sapne, toota dil, rishta bhi toot gaya
soch rahi hu, kya reh gaya, ab ye jiwan bitane ko
yaadon ke ye saaye, kyun reh jaate hai
pal pal armaanon ko, iss kadar tadpaane ko
din mein hosh nahi, raaton ko neend nahi
ladte hai teri yaadon se, tujhko bhulane ko
khauff-e-duniya se mere paas na aane wale
jaan rakhte hain hatheli pe nibhane wale
meri ruswai mein gairon ka koi dosh nahi
iss mein shamil hain mere apne chahne wale
kitna nadaan hoon iss aas pe zinda hoon
laut aayenge mujhe chod ke jaane wale
ab kahon tujhko main 'mohsin' toh bhala kaise kahoon
kar ke ehsaan sar-e-aam jatane wale
ab toh rasta hai na manzil hai na shanasa hai koi
shukriya shukriya iss mod pe laane wale
usski aadat wohi har baat adhori karna
aur phir baat ka mefhum badalte rehna
aag se seekh liya hai tareeka humne
bujh bhi jana toh badi der sulagte rehna
jaane kis umar mein jaayegi aadat apni
roothna uss se toh auro se uljhte rehna
tu duur hai mujhse, par paas bhi hai
teri kami mein kahin tera ehsaas bhi hai
tujhse dost hain lakhon, jahan mein mere
par tu dost bhi hai aur khaas bhi hai
tune khushiyan mujhe itni di hain ke aaj
tujhe khone ka dil mein ehsaas bhi hai
khuda ne yun nawaza, teri dosti se mujhe
ke mujhe khud pe gumaan hai aur naaz bhi hai
jaane kyun main aaj bhi dua karta hoon usski khushi ke liye
ae kaash ! woh lauta de mere woh sab beete din meri khushi ke liye
koi ja kar bataye usse koi marta nahin kisi ke liye
thay aur bhi raaste saath nibhane ke liye
kyun uss ne chuna raasta sirf judai ke liye
woh hota hai dheere dheere mujhse duur, qareeb main jitna aana chaha
uss ne ek raah khuli na rakhi apni vapsi ke liye
maana ke meri qismat ne kiya mujhse duur tumse
kya tumhare haathon ki lakeiron mein likha tha mujhse juda hone ke liye
ab bhi hai mere dil mein jazbaat najaane kis tarah
achcha hi kiya tha maine apni muhbbat ke liye
tumne dil ki baat keh di aaj ye achcha hua
hum tumhen apna samjhte thay bada dhokha hua
jab bhi humne kuch kaha usska asar ulta hua
aap shayad bhulte hain badha aisa hua
aap ki aankhon mein ye aansu kahan se aa gaye
hum toh diwane hain lekin aapko ye kya hua
ab kisi se kya kahen 'iqbal' apni dastan
bas khuda ka shukr hai jo bhi hua achcha hua
kuch bhi toh nahin waisa ...
jaisa tujhe socha tha
jitna tujhe chaha tha ...
socha tha tere lab par kuch har duaon ke
kuch phool wafaaon ke
mehakeinge meri khatir
kuch bhi toh nahin waisa jaisa tujhe socha tha
mehsoos ye hota hai dukh jhele thay jo ab tak
benaam musaafat mein
likhne ki mohbbat mein
padhne ki zaroorat mein
be_sood riazat thi
be_faiz ibaadat thi
jo khwab bhi dekhe thay inn jaglti aankhon ne
sab khaam khayyali thi
phir bhi tujhe pane ki dil ke kisi goushe mein
khwahish toh bachaa li thi
lekin tujhe pa kar bhi aur khud ko ganwa kar bhi
iss habs ke mausham ki khidki se hawa aayi
na phool se khushbu ki koi bhi sada aayi
ab neend hai aankhon mein
na dil mein woh pehli si taza sukhan aaraai
na lafz mere nikle na harf-o-maani ki
danish mere kaam aayi
nadeeda rafaqat mein jitni bhi aziyaat thi
sab mere hi naam aayi
kuch bhi toh nahin waisa
jaisa tujhe socha tha
ik zara dil ke qariib aao toh kuch chaiin pade
jaam ko jaam se takaraao toh kuch chaiin pade
baithe baithe toh har mauj se dil dahalega
badke tufan se takrao toh kuch chaiin pade
jii ulajhta hai nagma-e-rangiin sun kar
geet ek dard bhara gaao toh kuch chaiin pade
daag ke shair jawani mein bhale lagte hain
meer ki koi gazal gaao toh kuch chaiin pade
yaad-e-ayaan mein guzishtaan se ijaazat le kar
'tarz' kuch der ko soa jaao toh kuch chaiin pade
qarib maut khadi hai zara thahar jaao
qaza se aankh ladi hai zara thahar jaao
thaki thaki si fazaayen bujhe bujhe taare
badi udaas ghadi hai zara thahar jaao
nahin ummid ki hum aaj ki sahar dekhen
ye raat hum pe kadi hai zara thahar jaao
abhi na jaao ki taaron ka dil dhadakta hai
tamaam raat padi hai zara thahar jaao
phir iss ke baad kabhi hum na tumko rokenge
labon pe saans adii hai zara thahar jaao
dam-e-firaq mein jii bhar ke tumko dekh toh loon
ye faisle ki ghadi hai zara thahar jaao
tumhe yaad karne ki fursat nahi hai
bhula doon tumhen mujh mein himmat nahi hai
meri aankhon se jaane kyun lagta hai humko
tumhen ab vo mujhse mohbbat nahin hai
meri ankhon mein pehle jo aate thay aansu
tumhen bhi sang apne rulate thay aansu
ab tere gham mein har waqt behte hain aansu
teri nazron mein ab innki kimat nahi hai
tumhen mujhse ab vo muhbbat nahi hai ... laakh
masrufiyat mein bhi tum khat thay likhte, har ek
harf se bas mujhe tum thay dekhte, ab na dikhta koi
aks na koi khat
ae sanam naam iss ka toh chahat nahin hai, tujhe mujhse ab vo
mohbbat nahin hai ...
tera pyar mujh par tha ehsan jaana, mujhko bhulana hai asaan maana, na karega
pareshan bas itna tu keh de
tumhen ab hamari zarorat nahin hai, tumhen
mujhse ab vo mohbbat nahin hai ...
karu yaad ek din jab na hoti thi baatein, na dhalte thay din na kat'ti thi raatein,
har safar ab hai tanha
aur khamoshi hai qismat, tere lafzon se koi shikayat nahin , tumhen mujhse ab vo muhbbat nahin ....
dil mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main
kitna hasiin gunah kiye ja raha hoon main
duniya-e-dil tabaah kiye ja raha hoon main
sarf-e-nigah-o-aah kiye ja raha hoon main
fard-e-amal siyaah kiye ja raha hoon main
rehmat ko bepanah kiye ja raha hoon main
aisi bhi ik nigah kiye ja raha hoon main
zarron ko mahar-o-maah kiye ja raha hoon main
mujhse lage hain ishq ki azamat ko chaar chaand
khud husn ko gawaah kiye ja raha hoon main
masoomi-e-jamaal kobhi jis pe rashk ho
aise bhi kuch gunah kiye ja raha hoon main
aage qadam badhayen jinhen sujhata nahin
roshan chirag-e-raah kiye ja raha hoon main
tnaqeed-e-husn maslahat-e-khaas-e-ishq hai
ye zurm gaah-gaah kiye ja raha hoon main
gulshan_parast hoon mujhe gul hi nahin aziiz
kanton se hii nibah kiye ja raha hoon main
yun zindgi guzaar raha hoon tere begaiir
jaise koi gunah kiye ja raha hoon main
mujhse ada hua hai 'jigar' justju ka haq
har zarre ko gawah kiye ja raha hoon main
vo majboori nahi thi yeh adakari nahi hai
magar dono taraf pehli se sar _shari nahi hai
bahane se usse bas dekh aana pal do pal ko
yeh fard-e-zurm hai toh aankh inkaari nahi hai
main teri sard moheri se zara bad dil nahi hoon
mere dushman tera yeh var bhi kari nahi hai
main usske qaol par iman la kar khauf main hoon
kahin zalim ke lehje main ahyaari tu nahi hai
paltne ka irada ho sake toh tum bhi kar lo !
yeh bazi aaj tak dil ne kabhi haari nahi hai
jahan ik roz khil jaayen hamare naam ke phool
bhare gulshan main kya aisi koi kayari nahi hai
bichadne wale itne ho gaye hain shahr dar shahr
ke baqi ab kisi ghar main azadari nahi hai
paida raah-e-khaloos main dushwariya na kar
chahat nahi tu humse ada_kariyan na kar
lafzon se khelne ki zaroorat nahi tujhe
sada dilon ke saath yeh fan_kariyan na kar
jinse nahi lagao unhein munh bhi mat laga
bewajah har dukan se kharidariyan na kar
tu shakh-e-gul hai koi amar_bail toh nahi
wabasta har shajar se waffa_dariyan nah kar
iss bheed se pade bhi hai abad khalq-e-shair
apne hi doston ki taraf dariyan na kar
iss shugal-e-be_jawaz se kya fayda tujhe
dil mat dukha kisi ka dil azaariyan na kar
taza hai dil pe daag agar pehli chot ka
phir dosri shikast ki tayaarian na kar
mai pila kar aapka kya jaayega
jaayega iimaan jiska jaayega
dekhkar mujhko vo sharma jaayega
ye tamasha kis se dekha jaayega
jaauun buutKhaane se kyun kaabe ko main
haath se ye bhi thiknaa jaayega
qatl ki jab ussne dii dhamki mujhe
keh diya maine bhi dekha jaayega
pii bhi le do ghuunt zaahid pii bhi le
maikade se kaun pyasa jaayega
tujhe zindgi ka shaoor tha tera kya bana
tu khamosh kyun hai mujhe bata tera kya bana
vo jo naseeb se teri jang thi meri bhi thi
main toh kamyaab na ho saka tera kya bana
nayi manzilon ki talaash thi so bichad gaye
main bichad ke tujhse bhatak gaya tera kya bana
main muqable mein shareek tha faqt iss liye
koi mujhse aa ke puchta tera kya bana
mujhe ilm tha ke shikast mera naseeb hai
tu umeedvaar tha jeet ka tera kya bana
ulat palat gayee duniya woh zalzale aaye
magar kharaba-e-dil main woh shaks baqi hai
ae kaash ke yeh silsila kabhi munqata na ho
kaise jiyenge tujhsa koi dilruba toh ho
milte hain roz kitne saaye musafaton mein
lekin kisi mein tujhsa koi shaaiba toh ho
nazuk hai har kali par khuboyian juda hain
ehl-e-chamn mein tujhsa koi zaiqa toh ho
mand lag rahe hain sab jhilmilate taare
kahin inn mein husan tujhsa koi mulahiza toh ho
khwab-o-khayal mein sheki aaye ho tum
iss awargi mein tujhsa koi aasra toh ho
saja ke sar pe sitaron ka taaj rakhta hai !
zameen pe bhi woh falak ka mazaj rakhta hai
sanwarne wale sada aaine ko dhundte hain
bichar ke bhi woh meri ihteyaj rakhta hai ?
hum uss ke husan ko taskhir kar ke dekhain gaye !
jabeen pe kaon shikan ka kharaj rakhta hai ?
khafa sahi woh sakhawat sarshat jab bhi mile !
bharam aana ka mohabat ki laaj rakhta hai
saba kharam khazan pairhan bahar badan
woh muasamoon ka ajab imtezaaj rakhta hai
chura ke ankh se kuch khawab rakh liye mohsin
kisaan jaise bacha kar anaaj rakhta hai
roshan jamaal-e-yaar se hai anzumn tamaam
dehaka hua hai aatish-e-gul se chamn tamaam
hairat ghuroor-e-husn se shokhi se iztaraab
dil ne bhi tere seekh liye hain chalan tamaam
Allah-re jism-e-yaar ki khoobi ke khud-ba-khud
rangeeniyon mein doob gaya pairahan tamaam
dekho toh chasm-e-yaar ki jaadu nigahiyan
behosh ek nazar mein hui anzumn tamaam
sheerini-e-naseem hai soz-o-gudaaz-e-meer
hasrat tere sukhan pe hai lutf-e-sukhan tamaam...
sarv-o-saman bhi, mauj-e-naseem-e-sahar bhi hai
ae gul tere chaman mein koi chasm-e-tar bhi hai ?
kuchh der pii le kakul-o-aariz ki chhaaon mein
jaadu-e-shaam bhi hai, fusoon-e-sahar bhi hai
duniya sune toh qissa-e-gham hai bohot taveel
haan tum suno toh qissa-e-gham mukhtasar bhi hai
ab shayaran-e-hind mein jazbi, jigar ke baad
ye sochta hoon main koi saahib nazar bhi hai...
humko junoon kya sikhlate ho, hum thay pareshan tumse ziyada
chaak kiye hain humne azizon, char girehbaan tumse ziyada
chaak-e-jigar mohtaaj-e-rafoo hai, aaj toh daaman sirf lahoo hai
ek mausam tha humko raha hai shauq-e-baharan tumse ziyada
ehd-e-wafa yaaron se nibhayen, naaz-e-harifan hans ke uthayen,
tab humen armaan tumse siva tha, ab hain pasheman tumse ziyada
jao tum apne baam ki khatir, saari lauwen shamon ki katar lo,
zakhm ke mahar-o-mah salamat, jashn-e-chiraghan tumse ziyada
hum bhi hamesha qatl huye, aur tumne bhi dekha door se lekin,
ye na samjhna humko hua hai jaan ka nuksaan tumse ziyada
zanjeer-o-deewar hi dekhi tumne toh majrooh, magar hum
kucha kucha dekh rahe hain aalam-e-zindan tumse ziyada