Monday, November 24, 2008

apne aana ke khudaa ko manaane ki khaatir
wo khafaa ho gaya mujhe sataane ki khaatir
mein ney kaha waqt ki thokar sey bachna zaraa
kehne laga tum na aana mujhe uthane ki khaatir
maine kaha mujhse bichad kar tum kese jiyo ge!
kehne laga mein jeeyun ga ab zamaane ki khaatir
mein ne kaha door jaa kar gar tanhaa ho gai toh!
kehne laga tum na aana mujehy behlaaney ki khaatir
mein ne kaha waapsi ke dar khule rehne dena
kehne laga kaun jaata hai laut aane ki khaatir!
mein ney kaha phir bhi chaaho tau palat aana tum
kehney laga nahi aaoon ga tumhe paane ki khaatir
magar mila barson ke baad to kitna hansna padaa
usey palkon pe ruke ashq chupaane ki khaatir

No comments:

Post a Comment

wel come