हुस्न को बे-हिजाब होना था
शौक़ को कामयाब होना था
हिज्र में कैफ-ए-इजतिराब न पूछ
खून-ए-दिल भी शराब होना था
तेरे जलवों में घिर गया आख़िर
ज़र्रे को आफ़ताब होना था
कुछ तुम्हारी निगाह काफिर थी
कुछ मुझे भी ख़राब होना था
रात तारों का टूटना भी "मजाज़"
बैस-ए-इजतिराब होना था
*
husn ko be-hijaab hona tha
shauq ko kaamyab hona tha
hijr mein kaif-e-iztiraab na puuch
khuun-e-dil bhi sharab hona tha
tere jalvon mein ghir gaya aakhir
zarre ko aaftab hona tha
kuch tumhari nigaah kaafir thi
kuch mujhe bhi kharab hona tha
raat taaron ka tootna bhi "Majaz"
baais-e-iztiraab hona tha
No comments:
Post a Comment