
mile hain ehtiyaatan unn se hum be-ganwar aksar
adaa karna pada hai ye bhi farz-e-nafanwara aksar
khatayen karte karte tauba kar li hai 'khumar' aksar
tadap kar reh gayi hai rehmat-e-parvardigaar aksar
vo yun aayen hain mere saamne be-ikhtiyaar aksar
mujhe karna pada hai aap apna intizaar aksar
badi muskil se dil maayus hota hai muhabat mein
kiya hai maine ek paimaan-shikan a aitbaar aksar
jo kaante ban ke khatke hain dilon mein ahl-e-gulshan ke
badhayaa hai unnhi kaanton ne gulshan ka viqaar aksar
zamana ho gaya tark-e-muhabat ko magar ab tak
muhabat kaam apna kar hi jaati hai 'khumar' aksar
No comments:
Post a Comment