Thursday, November 27, 2008

samundar poochta hai ab woh dono kyun nahi aate
wohi dono jo bheegi ret per
ek doosre ka haath thaame door tak
kabhi hanste, kabhi kuch gungunate
ya kabhi chup chaap baithe duur ufaq ki gaudh mein
rosposh hone wala sooraj dekhte
aansoo bahate laut jate !
samandar poochta hai ab woh dono kyun nahi aate
jo aate thay toh apne saath kitne khuwab laate thay
kabhi saahil se dheron seepiyan chunte thay
nange paon paani mein chale aate thay
bheegi ret se nanne gharonde bhi banate thay
aur unn mein seepiyan,rangeen se kuch sangreze yun sajate thay
samandar poochta hai ab woh dono kyun nahi aate
magar samandar ne khizan ki siskiyan leti hawa
ek shaam ko woh naujawano ko nahi dekha
jo der takk tanha sar-e-saahil raha baitha
phir uss ne dher saare khatt
buhut se sookhe phool aur tasveerein
aur apne aakhri aansoo
samandar ke hawale kar diye ....

No comments:

Post a Comment

wel come