
ye mojezaa[miracle] bhi muhabat kabhi dikhaaye mujhe
ke sang tujhpe gire aur zakham aaye mujhe
vo mehrabaan hai toh iqraar kyun nahin karta
vo badgumaan hai toh sau baar aazmaaye mujhe
main apne paanv tale raundtaa hun saaye ko
badan mera hi sahi do-pahar na bhaaye mujhe
main ghar se teri tamana pahan ke jab nikloon
barhnaa[naked] shahr mein koi nazar na aaye mujhe
vo mera dost hai, saare jahaan ko hai maloom
dagaa kare vo kisi se toh sharm aaye mujhe
main apni zaat mein nilaam ho raha hun'Qateel'
gham-e-hayaat se keh do khariid laaye mujhe
No comments:
Post a Comment