ज़ब्त भी चाहिए,ज़र्फ़ भी चाहिए
और मोहतात पास-ए-वफ़ा चाहिए
जिंदगी दुश्मनों मैं में भी कट जाएगी
आदमी में ज़रा होसला चाहिए
मेरी मानो तो एक बात तुमसे कहू
ये नया दौर है, इसका किया ठीक है
दोस्तों से मिलो महफिलों मैं अगर
आस्तीनों का भी जायेज़ा चाहिए
तुमने आराइश-ए-गुलसितां के लिए
हम से कुछ खून माँगा था मुद्दत हुई
तुम से खैरात हम नही मांगते
हम को उस खून का खून बहा चाहिए
हद से बढ़ कर मोहब्बत मुनासिब नही
इसी में अन्देशाये बदगुमानी भी है
दुश्मनों से तालुक तो है ही ग़लत
दोस्तों से भी कुछ फासला चाहिए
*
zabt bhi chahiye,zarf bhi chahiye
aur mohtaat paas-e-wafa chahiye
zindagi dushmano mein bhi kat jayegi
aadmi mein zara hausla chahiye
meri mano toh ek baat tumse kahun
ye naya dor hai, iska kiya theek hai
doston se milo mehfilon mein agar
aastinon ka bhi jayeiza chahiye
tumne aaraish-e-gulsitaan ke liye
hum se kuch khoon manga tha
muddat hui tumse kheraat hum nhi mangte
hum ko uss khoon ka khoon bahaa chahiye
hadh se badh kar mohabbat munasib nhi
iss mein andeshaye badgumani bhi hai
dushmanon se taluq toh hai hi ghalat
doston se bhi kuch faasla chahiye
No comments:
Post a Comment